tab hazāroñ añdheroñ se
ik raushnī kī kiran phuuT kar
sard vīrān kamre ke tārīk dīvār-o-dar se ulajhne lagī
aur kamre meñ phirte hue
saikaḌoñ zard zarre
sadāoñ ke āġhosh par
bilbilāte sisakte hue
merī jānib baḌhe
maiñ ne apnī shahādat kī uñglī uThā.ī
zard zarroñ se goyā huā
dosto
aao baḌhte chaleñ
raushnī kī taraf raushnī kī taraf
raushnī jo hamārī tamannāoñ kī pyaas hai
raushnī kī taraf raushnī kī taraf
raushnī jo hamārī tamannāoñ kī pyaas hai
raushnī jo hamārī tamannāoñ kī aas hai
zard zarre mere saath baḌhne lage
raushnī kī taraf raushnī kī taraf
chand zarre ki jin kī ragoñ meñ
siyah raat kī zulmateñ bas chukī thiiñ
merī bātoñ pe hañsne lage
aur hañste rahe
tab hazāroñ añdheroñ ke siine meñ
phailā huā ik tilism
raushnī kī tab-o-tāb se
TūTne ke liye
aur aage baḌhā
tab hazaron andheron se
ek raushni ki kiran phuT kar
sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi
aur kamre mein phirte hue
saikaDon zard zarre
sadaon ke aaghosh par
bilbilate sisakte hue
meri jaanib baDhe
main ne apni shahadat ki ungli uThai
zard zarron se goya hua
dosto
aao baDhte chalen
raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai
raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai
raushni jo hamari tamannaon ki aas hai
zard zarre mere sath baDhne lage
raushni ki taraf raushni ki taraf
chand zarre ki jin ki ragon mein
siyah raat ki zulmaten bas chuki thin
meri baaton pe hansne lage
aur hanste rahe
tab hazaron andheron ke sine mein
phaila hua ek tilism
raushni ki tab-o-tab se
TuTne ke liye
aur aage baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.