kanTon se pyar ho jae
guloñ ke saath jo kāñToñ se pyaar ho jaa.e
ḳhizāñ bhī apne chaman kī bahār ho jaa.e
mirā chaman hai ki har rang meñ mujhe maqbūl
ye lāla-zār ho yā ḳhār-zār ho jaa.e
hasīn vādiyāñ chashme ba-ma.a ḳhas-o-ḳhāshāk
tazād-e-husn jo dekhe nisār ho jaa.e
nazar milāo mirī aañkh meñ jo paanī hai
ruke to motī gire ābshār ho jaa.e
ḳhatā vahī hai ki jo bhuul se ho ik do baar
ye kyā ḳhatā hai ki jo baar baar ho jaa.e
ye sang-o-ḳhisht nahīñ dil hai dil meñ dhaḌkan hai
na chheḌo is ko kahīñ dāġh-dār ho jaa.e
kaho to kaisī rahī apnī dāstāñ 'hindī'
jo us kī surḳhī hī sīna-figār ho jaa.e
gulon ke sath jo kanTon se pyar ho jae
KHizan bhi apne chaman ki bahaar ho jae
mera chaman hai ki har rang mein mujhe maqbul
ye lala-zar ho ya KHar-zar ho jae
hasin wadiyan chashme ba-ma KHas-o-KHashak
tazad-e-husn jo dekhe nisar ho jae
nazar milao meri aankh mein jo pani hai
ruke to moti gire aabshaar ho jae
KHata wahi hai ki jo bhul se ho ek do bar
ye kya KHata hai ki jo bar bar ho jae
ye sang-o-KHisht nahin dil hai dil mein dhaDkan hai
na chheDo is ko kahin dagh-dar ho jae
kaho to kaisi rahi apni dastan 'hindi'
jo us ki surKHi hi sina-figar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.