kash
mujh meñ ai yaar mire koī kamālāt na dekh
ḳhvāb vo huuñ jo kabhī bhī na haqīqat meñ Dhalā
koī sāhil nahīñ manzil na koī mo.ajiza huuñ
ahl-e-bāzār kā chāhā huā sāmāñ bhī kahāñ
jo laboñ par ho zamāne ke na vo naġhma huuñ
mere kahne se na rut koī suhānī aa.e
merī chāhat se na kaliyoñ pe javānī chhā.e
mere jazboñ meñ kashish suljhe ḳhayālāt na dekh
mujh meñ ai yaar mire koī kamālāt na dekh
maiñ to is dahr kā chhoTā sā bashar huuñ jis ne
jiinā marnā bhī faqat mulk kī ḳhātir chāhā
zulmat-e-shab ke thapeḌoñ se ulajhne ke liye
zulm o āzār ke haivānoñ se laḌnā chāhā
mere hāthoñ ne ka.ī baar uThā.e patthar
mujh meñ parvāz-e-baġhāvat ne panapnā chāhā
mere jazbāt-o-tasavvur meñ baḌī shiddat thī
aag par chalne kī qadmoñ ko baḌī chāhat thī
laḌne vāloñ meñ kabhī ek mirā naam bhī thā
apne hāthoñ se kabhī ek mirā naam bhī thā
ḳhushnumā rañg fazāoñ meñ bikherūñgā kabhī
kuchh ujāloñ ke shajar maiñ bhī ugā.ūñgā kabhī
chhoTī hī sham.a sahī maiñ bhī jalā.ūñgā kabhī
par kahāñ ho sakā jo dil ne mire chāhā thā
maiñ ne rasta vo chunā raas na jo aayā thā
ḳhud-ġharaz shaḳhs ke har ek irāde kī tarah
merī chāhat ke qadam jaane kahāñ jā pahuñche
jin meñ hiire sī chamak lagtā thā aa jā.egī
mujh meñ vo sañg the jo mujh se tarāshe na ga.e
apne sāgar se guhar mujh se nikāle na ga.e
mujh se rāhoñ meñ qadam soch ke Daale na ga.e
ab ye aalam hai ki jiine ke liye jiitā huuñ
ek afsos o kasak dil meñ liye phirtā huuñ
apne siine meñ ka.ī bojh liye barsoñ se
rahguzar meñ thakā be-sūd safar kartā huuñ
maiñ huuñ sāgar meñ phañsī tanhā sī kashtī kī tarah
jis kī qismat meñ sivā bahne ke ab kuchh bhī nahīñ
maiñ vo gul huuñ jo mahaktā to hai āñgan meñ mire
jis kī ḳhushbū ne zamāne ko diyā kuchh bhī nahīñ
mujh meñ ik haare sikandar ke sivā kuchh bhī na dekh
merī sīrat meñ farozāñ sī hikāyāt na dekh
mujh meñ ai yaar mire koī kamālāt na dekh
mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh
KHwab wo hun jo kabhi bhi na haqiqat mein Dhala
koi sahil nahin manzil na koi moajiza hun
ahl-e-bazar ka chaha hua saman bhi kahan
jo labon par ho zamane ke na wo naghma hun
mere kahne se na rut koi suhani aae
meri chahat se na kaliyon pe jawani chhae
mere jazbon mein kashish suljhe KHayalat na dekh
mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh
main to is dahr ka chhoTa sa bashar hun jis ne
jina marna bhi faqat mulk ki KHatir chaha
zulmat-e-shab ke thapeDon se ulajhne ke liye
zulm o aazar ke haiwanon se laDna chaha
mere hathon ne kai bar uThae patthar
mujh mein parwaz-e-baghawat ne panapna chaha
mere jazbaat-o-tasawwur mein baDi shiddat thi
aag par chalne ki qadmon ko baDi chahat thi
laDne walon mein kabhi ek mera nam bhi tha
apne hathon se kabhi ek mera nam bhi tha
KHushnuma rang fazaon mein bikherunga kabhi
kuchh ujalon ke shajar main bhi ugaunga kabhi
chhoTi hi shama sahi main bhi jalaunga kabhi
par kahan ho saka jo dil ne mere chaha tha
main ne rasta wo chuna ras na jo aaya tha
KHud-gharaz shaKHs ke har ek irade ki tarah
meri chahat ke qadam jaane kahan ja pahunche
jin mein hire si chamak lagta tha aa jaegi
mujh mein wo sang the jo mujh se tarashe na gae
apne sagar se guhar mujh se nikale na gae
mujh se rahon mein qadam soch ke Dale na gae
ab ye aalam hai ki jine ke liye jita hun
ek afsos o kasak dil mein liye phirta hun
apne sine mein kai bojh liye barson se
rahguzar mein thaka be-sud safar karta hun
main hun sagar mein phansi tanha si kashti ki tarah
jis ki qismat mein siwa bahne ke ab kuchh bhi nahin
main wo gul hun jo mahakta to hai aangan mein mere
jis ki KHushbu ne zamane ko diya kuchh bhi nahin
mujh mein ek haare sikandar ke siwa kuchh bhi na dekh
meri sirat mein farozan si hikayat na dekh
mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.