kabhi dekha nahin tumko
kabhī dekhā nahīñ tum ko
hamesha se faqat āvāz ban kar merī āñkhoñ meñ utartī ho
guzartī ho mire dil se
magar is phone se ho kar guzartī ho
kabhī dekhā nahīñ tum ko
chalo ye farz kar lo
jaise tum ko dekhtā hai koī
aur vo kaise dekhtā hai
aaj ye mujh ko batāo tum
un āñkhoñ se mujhe ḳhud ko dikhāo tum
maiñ dekhūñgā ki vo āñkheñ
tumhāre jism meñ kaise nahātī haiñ
maiñ dekhūñgā ki vo āñkheñ
tumhārī be-karānī ko bhalā kaise samātī haiñ
maiñ dekhūñgā ki vo āñkheñ
tumhāre jism ke har joḌ se
kis tarh juḌtī haiñ
Dhalānoñ par phisaltī haiñ vo kaise
phir sañbhaltī haiñ vo kyūñkar
aur moḌ aate haiñ to kis tarh muḌtī haiñ
un āñkhoñ kī zabānī dāstāñ apnī sunāo tum
mujhe ḳhud ko dikhāo tum
ki tum ko dekhne kī aarzū ne
in āñkhoñ kā garebāñ chaak kar Daalā
vo sil jaa.e
mujhe ārām mil jaa.e
kabhi dekha nahin tum ko
hamesha se faqat aawaz ban kar meri aankhon mein utarti ho
guzarti ho mere dil se
magar is phone se ho kar guzarti ho
kabhi dekha nahin tum ko
chalo ye farz kar lo
jaise tum ko dekhta hai koi
aur wo kaise dekhta hai
aaj ye mujh ko batao tum
un aankhon se mujhe KHud ko dikhao tum
main dekhunga ki wo aankhen
tumhaare jism mein kaise nahati hain
main dekhunga ki wo aankhen
tumhaari be-karani ko bhala kaise samati hain
main dekhunga ki wo aankhen
tumhaare jism ke har joD se
kis tarh juDti hain
Dhalanon par phisalti hain wo kaise
phir sanbhalti hain wo kyunkar
aur moD aate hain to kis tarh muDti hain
un aankhon ki zabani dastan apni sunao tum
mujhe KHud ko dikhao tum
ki tum ko dekhne ki aarzu ne
in aankhon ka gareban chaak kar Dala
wo sil jae
mujhe aaram mil jae
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 132)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.