kabhi
kabhī aañch uTThe
kabhī barf pighle
kabhī dasht meñ baj uThe jal-tarang
samundar kabhī to pukāre mujhe
falak se takallum kā ye silsila Tuut jaa.e kabhī
pahāḌī kabhī to utāre mujhe
harī duub nangā badan gudgudā.e
jalī ret talvoñ ko chāTe
kabhī jism meñ raat jaage koī
kabhī raat meñ niiñd aa.e mujhe
kabhī niiñd meñ ḳhvāb TuuTe koī
kabhī ḳhvāb ke TūTne ke qarīb
mujhe ek behosh tūfāñ mile
kabhi aanch uTThe
kabhi barf pighle
kabhi dasht mein baj uThe jal-tarang
samundar kabhi to pukare mujhe
falak se takallum ka ye silsila Tut jae kabhi
pahaDi kabhi to utare mujhe
hari dub nanga badan gudgudae
jali ret talwon ko chaTe
kabhi jism mein raat jage koi
kabhi raat mein nind aae mujhe
kabhi nind mein KHwab TuTe koi
kabhi KHwab ke TuTne ke qarib
mujhe ek behosh tufan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.