kabhi kabhi
kabhī kabhī aisā hotā hai
apne hī ghar meñ
bhiiḌ meñ logoñ kī rah kar bhī
dil an-jānī dahshat se
dhak dhak kartā hai
niiñd āñkhoñ se uḌ jaatī hai
kabhī kabhī aisā hotā hai
ghane añdhere jangal meñ
dil koī ḳhauf nahīñ khātā hai
raat basar ho jaatī hai
baḌe sukūñ se
kabhī kabhī aisā hotā hai
saare manzar
āñkhoñ meñ raushan rahte haiñ
dil meñ lekin
koī manzar jazb nahīñ hotā
kabhī kabhī aisā hotā hai
sahrā meñ
kuchh bhī nahīñ hotā lekin
āñkhoñ ke aage
sab kuchh raushan rahtā hai
kabhī kabhī aisā hotā hai
kabhī kabhī aisā
kabhi kabhi aisa hota hai
apne hi ghar mein
bhiD mein logon ki rah kar bhi
dil an-jaani dahshat se
dhak dhak karta hai
nind aankhon se uD jati hai
kabhi kabhi aisa hota hai
ghane andhere jangal mein
dil koi KHauf nahin khata hai
raat basar ho jati hai
baDe sukun se
kabhi kabhi aisa hota hai
sare manzar
aankhon mein raushan rahte hain
dil mein lekin
koi manzar jazb nahin hota
kabhi kabhi aisa hota hai
sahra mein
kuchh bhi nahin hota lekin
aankhon ke aage
sab kuchh raushan rahta hai
kabhi kabhi aisa hota hai
kabhi kabhi aisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.