kabhi kabhi
kuchh yuuñ badal gayā mirā tarz-e-bayāñ kabhī kabhī
jaise zabān hotī hai ḳhud be-zabāñ kabhī kabhī
ḳhud se hī ho gayā huuñ maiñ bezār haañ kabhī kabhī
guzrī ye zindagī mujhe itnī garāñ kabhī kabhī
de kar ġham-e-jahāñ mujhe ashkoñ pe mere bandisheñ
yuuñ bhī liyā hai tū ne mirā imtihāñ kabhī kabhī
vo shiddat-e-bayāñ ho ki ho jur.at-e-bayān-e-haq
gustāḳh itnī ho ga.ī merī zabāñ kabhī kabhī
yā un ke iltifāt se maiñ āshnā huā yuuñ hī
yā ittifāq se hue vo gul-nishāñ kabhī kabhī
sharmā ke rah ga.ī mirī manzil kī justujū kabhī
tharrā ke rah gayā mirā dard-e-nihāñ kabhī kabhī
jaise ġharīb farsh pe sotā hai thak ke muzmahil
aksar yuuñ so gayā mirā azm-e-javāñ kabhī kabhī
kuchh vāqi.āt-e-zindagī kuchh hādsāt-e-dil se bhī
dilchasp ho ga.ī hai mirī dāstāñ kabhī kabhī
girya ke lutf se na maiñ mahrūm ho sakā kabhī
insāf merā yuuñ huā tere yahāñ kabhī kabhī
kuchh yun badal gaya mera tarz-e-bayan kabhi kabhi
jaise zaban hoti hai KHud be-zaban kabhi kabhi
KHud se hi ho gaya hun main bezar han kabhi kabhi
guzri ye zindagi mujhe itni garan kabhi kabhi
de kar gham-e-jahan mujhe ashkon pe mere bandishen
yun bhi liya hai tu ne mera imtihan kabhi kabhi
wo shiddat-e-bayan ho ki ho jurat-e-bayan-e-haq
gustaKH itni ho gai meri zaban kabhi kabhi
ya un ke iltifat se main aashna hua yun hi
ya ittifaq se hue wo gul-nishan kabhi kabhi
sharma ke rah gai meri manzil ki justuju kabhi
tharra ke rah gaya mera dard-e-nihan kabhi kabhi
jaise gharib farsh pe sota hai thak ke muzmahil
aksar yun so gaya mera azm-e-jawan kabhi kabhi
kuchh waqiat-e-zindagi kuchh hadsat-e-dil se bhi
dilchasp ho gai hai meri dastan kabhi kabhi
girya ke lutf se na main mahrum ho saka kabhi
insaf mera yun hua tere yahan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.