kabhi likhna
kabhī likhnā
hamāre baa'd jo guzrī
kabhī likhnā
kaThin rastoñ pe kaise zindagī kī shaam hotī hai
kisī kī yaad meñ aate hue aañsū ko kaise rok lete haiñ
koī aahaT koī dastak agar ubhre
to ik mauhūm sī ummīd kaise Tuut jaatī hai
kabhī likhnā
tumheñ mā'lūm to hogā
tumhārā chāhne vaalā
ka.ī qarzoñ meñ jakḌā hai
use ik 'umr ke badle
ka.ī qarze chukāne haiñ
tumheñ mā'lūm to hogā
vo raste jo tumhāre ghar ko aate the
vahāñ dīvār haa.il hai
magar har shaam ko phir bhī
tumhārī aañkh kā raushan sitāra
aaj bhī biite dinoñ kī yaad ko
dil meñ basāne ke liye dekho
unhīñ rastoñ pe rahtā hai
magar sūraj ke Dhalte hī
sitāra TuuT jaatā hai
to kyā mahsūs hotā hai
agar ye tum se mumkin ho
kabhī likhnā
kabhī likhnā
hamāre baa'd shahr-e-jāñ kā vo 'ālam
galī kūchoñ kā vo manzar
vo āñkheñ jo hamāre naam se raushan
sitāroñ kī tarah se jhilmilātī thiiñ
vo 'āriz jo hamāre lams se mahke
vo gesū jo hamāre haal pe aksar
daraḳhtoñ kī tarah saaya sā karte the
vo paikar bhī jise ham pyaar karte the
hai kyā ab bhī hamārī yaad meñ qaa.em
kabhī fursat mile tum ko
to phir likhnā
kabhi likhna
hamare ba'd jo guzri
kabhi likhna
kaThin raston pe kaise zindagi ki sham hoti hai
kisi ki yaad mein aate hue aansu ko kaise rok lete hain
koi aahaT koi dastak agar ubhre
to ek mauhum si ummid kaise Tut jati hai
kabhi likhna
tumhein ma'lum to hoga
tumhaara chahne wala
kai qarzon mein jakDa hai
use ek 'umr ke badle
kai qarze chukane hain
tumhein ma'lum to hoga
wo raste jo tumhaare ghar ko aate the
wahan diwar hail hai
magar har sham ko phir bhi
tumhaari aankh ka raushan sitara
aaj bhi bite dinon ki yaad ko
dil mein basane ke liye dekho
unhin raston pe rahta hai
magar suraj ke Dhalte hi
sitara TuT jata hai
to kya mahsus hota hai
agar ye tum se mumkin ho
kabhi likhna
kabhi likhna
hamare ba'd shahr-e-jaan ka wo 'alam
gali kuchon ka wo manzar
wo aankhen jo hamare nam se raushan
sitaron ki tarah se jhilmilati thin
wo 'ariz jo hamare lams se mahke
wo gesu jo hamare haal pe aksar
daraKHton ki tarah saya sa karte the
wo paikar bhi jise hum pyar karte the
hai kya ab bhi hamari yaad mein qaem
kabhi fursat mile tum ko
to phir likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.