kabhi na aaenge jaane wale
kahāñ ga.e vo
vatan kī ismat bachāne vaale
vaqār-o-azmat baḌhāne vaale
vafā kā parcham uThāne vaale unheñ bulāo ham un kī āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ
kahāñ ga.e vo
jo dāstān-e-vafā ko apne lahū se tahrīr kar rahe the
jo apnī āñkhoñ kī qīmatoñ par bhī ḳhvāb ta.abīr kar rahe the
jo raushnī ke safīr ban kar diloñ meñ tanvīr kar rahe the
vafā meñ zanjīr ho rahe the jafā ko zanjīr kar rahe the
kahāñ ga.e vo qazā ko tasḳhīr karne vaale unheñ bulāo ham un kī āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ
kahāñ ga.e vo
ḳhizāñ ko shādāb karne vaale
lahū ko sailāb karne vaale
sitam ko ġharqāb karne vaale
kahāñ ga.e vo vatan ko āzād karne vaale unheñ bulāo ham un kī āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ
kahāñ ga.e vo
sahar kā imkān karne vaale harīf-e-zulmat
saroñ ko qurbān karne vaale amīn-e-jannat
vatan pe ehsān karne vaale naqīb-e-hashmat
kahāñ haiñ āḳhir
sitam kī sham.eñ bujhāne vaale
salīb-o-maqtal sajāne vaale kabhī na ā.eñge jaane vaale
kahan gae wo
watan ki ismat bachane wale
waqar-o-azmat baDhane wale
wafa ka parcham uThane wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
jo dastan-e-wafa ko apne lahu se tahrir kar rahe the
jo apni aankhon ki qimaton par bhi KHwab tabir kar rahe the
jo raushni ke safir ban kar dilon mein tanwir kar rahe the
wafa mein zanjir ho rahe the jafa ko zanjir kar rahe the
kahan gae wo qaza ko tasKHir karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
KHizan ko shadab karne wale
lahu ko sailab karne wale
sitam ko gharqab karne wale
kahan gae wo watan ko aazad karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen
kahan gae wo
sahar ka imkan karne wale harif-e-zulmat
saron ko qurban karne wale amin-e-jannat
watan pe ehsan karne wale naqib-e-hashmat
kahan hain aaKHir
sitam ki shamen bujhane wale
salib-o-maqtal sajaane wale kabhi na aaenge jaane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.