kabhi socha hai tumne
sub.h shaam rātoñ meñ
sochtī rahtī huuñ kuchh
be-sabab ḳhalā meñ nihārtī rahtī huuñ
kabhī merī āñkhoñ ke aage
kuchh lafz raqs karne lagte haiñ
lekin jab kabhī maiñ in lafzoñ ko kāġhaz ke kore badan par Tañknā chāhtī huuñ
to ye lafz uḌ kar havā meñ tahlīl ho jaate haiñ
aur āñkhoñ ke aage
mahaz dhuāñ sā rah jaatā hai
kabhī sochā hai tum ne ki
aisā kyoñ hotā hai
ki chhat kī muñDer par baiThī
hazāroñ miil kā safar
tai kar letī huuñ
jab ki tum saath nahīñ hote
albatta tumhārā lams
tumhārī ḳhushbū
merī ham-safar hotī hai
kabhī sochā hai tum ne ki
āñkheñ kyoñ muztarib rahtī haiñ
nīñdeñ kyoñ rūThī huī haiñ
kyā koī lamha
vasl kī sūrat
judā.ī kā karb
tanhā.ī kā azaab
jazb karne vaalā hai
subh sham raaton mein
sochti rahti hun kuchh
be-sabab KHala mein nihaarti rahti hun
kabhi meri aankhon ke aage
kuchh lafz raqs karne lagte hain
lekin jab kabhi main in lafzon ko kaghaz ke kore badan par Tankna chahti hun
to ye lafz uD kar hawa mein tahlil ho jate hain
aur aankhon ke aage
mahaz dhuan sa rah jata hai
kabhi socha hai tum ne ki
aisa kyon hota hai
ki chhat ki munDer par baiThi
hazaron mil ka safar
tai kar leti hun
jab ki tum sath nahin hote
albatta tumhaara lams
tumhaari KHushbu
meri ham-safar hoti hai
kabhi socha hai tum ne ki
aankhen kyon muztarib rahti hain
ninden kyon ruThi hui hain
kya koi lamha
wasl ki surat
judai ka karb
tanhai ka azab
jazb karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.