kabhi tum
kabhī tum
maiñ se nikal kar
bāhar to aao
dekho
ye duniyā kitnī hasīn hai
qudrat ke in anmol tohfoñ pe
tumhārā bhī to haq hai
tum ne har ḳhushī se muñh moḌ liyā hai
kabhī
apne maiñ se nikal kar
bāhar to aao
dekho zarā
aur
mahsūs karo
kisī kī āñkheñ
tumhāre diid ko taras rahī haiñ
kisī kī ruuh
tum meñ jazb hone ke liye be-qarār hai
kabhi tum
main se nikal kar
bahar to aao
dekho
ye duniya kitni hasin hai
qudrat ke in anmol tohfon pe
tumhaara bhi to haq hai
tum ne har KHushi se munh moD liya hai
kabhi
apne main se nikal kar
bahar to aao
dekho zara
aur
mahsus karo
kisi ki aankhen
tumhaare did ko taras rahi hain
kisi ki ruh
tum mein jazb hone ke liye be-qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.