kabutar aur kawwe ki hui laDai
duur kahīñ dariyā ke kināre
rahte the do dost pyāre
ek thā kavvā ek kabūtar
khāte piite the vo mil kar
ik din un kī shāmat aa.ī
donoñ meñ huī ḳhuub laḌā.ī
pahle apne muñh ko kholā
phir ġhusse se kabūtar bolā
kavve hote haiñ kanjūs
kaale bhadde aur manhūs
kāñ-kāñ shor machāte haiñ
saarā din sar khāte haiñ
shor se maiñ to Dartā huuñ
aur bas gūñ-gūñ kartā huuñ
mujh ko apne husn pe naaz
ūñchī hai merī parvāz
kaale ho kalūTe ho
tum to bhaiñs ke kaTTe ho
baat ye sun kar kavvā bolā
tū ne merī zaat ko tolā
le ab merī baarī hai
jāntī duniyā saarī hai
tū buzdil hai aur Darpok
baat kahūñgā maiñ do-Tūk
jab koī billī aatī hai
jaañ terī tab jaatī hai
kāñptā hai tharrātā hai
Dar kar hī mar jaatā hai
logoñ kā ye kahnā hai
kavvā bahut syānā hai
itne meñ ik lomaḌ aaya
peḌ ke nīche aa kar bolā
laḌte ho kuchh sharm karo
lahje apne narm karo
allāh allāh kiyā karo
us kā naam hī liyā karo
maiñ tum ko samjhātā huuñ
phir se dost banātā huuñ
jaldī se tum nīche aao
aa kar mujh se haath milāo
donoñ peḌ se nīche aa.e
laḌne se par baaz na aa.e
maut thī un ke sar par aa.ī
lomaḌ ne ik jast lagā.ī
gardan se donoñ ko pakḌā
aur apne panjoñ meñ jakḌā
dāvat us ne ḳhuub uḌaa.ī
apne peT kī aag bujhā.ī
baarī baarī un ko khāyā
donoñ ko ik sabaq sikhāyā
laḌnā bachcho kaam burā hai
laḌne kā anjām burā hai
dur kahin dariya ke kinare
rahte the do dost pyare
ek tha kawwa ek kabutar
khate pite the wo mil kar
ek din un ki shamat aai
donon mein hui KHub laDai
pahle apne munh ko khola
phir ghusse se kabutar bola
kawwe hote hain kanjus
kale bhadde aur manhus
kan-kan shor machate hain
sara din sar khate hain
shor se main to Darta hun
aur bas gun-gun karta hun
mujh ko apne husn pe naz
unchi hai meri parwaz
kale ho kaluTe ho
tum to bhains ke kaTTe ho
baat ye sun kar kawwa bola
tu ne meri zat ko tola
le ab meri bari hai
jaanti duniya sari hai
tu buzdil hai aur Darpok
baat kahunga main do-Tuk
jab koi billi aati hai
jaan teri tab jati hai
kanpta hai tharraata hai
Dar kar hi mar jata hai
logon ka ye kahna hai
kawwa bahut syana hai
itne mein ek lomaD aaya
peD ke niche aa kar bola
laDte ho kuchh sharm karo
lahje apne narm karo
allah allah kiya karo
us ka nam hi liya karo
main tum ko samjhata hun
phir se dost banata hun
jaldi se tum niche aao
aa kar mujh se hath milao
donon peD se niche aae
laDne se par baz na aae
maut thi un ke sar par aai
lomaD ne ek jast lagai
gardan se donon ko pakDa
aur apne panjon mein jakDa
dawat us ne KHub uDai
apne peT ki aag bujhai
bari bari un ko khaya
donon ko ek sabaq sikhaya
laDna bachcho kaam bura hai
laDne ka anjam bura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.