kachchi inTon ke pul
har patthar meñ chhupī huī ik maut hai jo soch rahī hai
sūraj ke ā.īne meñ jo shakl bhī hai
vo andhī kaalī
dīvāroñ se chipkī haiñ TuuTī parchhā.īñ
kachchī īñToñ ke pul bante haiñ din meñ
rātoñ meñ paanī par chalte haiñ sab log
saare parbat
sāgar pī kar aa.e haiñ
tum baunoñ kī bastī meñ bhī chhoTe ho
apne saa.e se Dar kar kahtī haiñ fasleñ
saañp ugaao
jitne bhī meñDak haiñ un ko bāhar bhejo
apnī apnī qabr se uTh kar
rātoñ meñ kyoñ
katbe log miTā dete haiñ
saare kāġhaz par
kitnī hī tasvīreñ haiñ
raat pighalte sūraj kā muñh dekh rahī hai
ab so jaao
har patthar mein chhupi hui ek maut hai jo soch rahi hai
suraj ke aaine mein jo shakl bhi hai
wo andhi kali
diwaron se chipki hain TuTi parchhain
kachchi inTon ke pul bante hain din mein
raaton mein pani par chalte hain sab log
sare parbat
sagar pi kar aae hain
tum baunon ki basti mein bhi chhoTe ho
apne sae se Dar kar kahti hain faslen
sanp ugao
jitne bhi meinDak hain un ko bahar bhejo
apni apni qabr se uTh kar
raaton mein kyon
katbe log miTa dete hain
sare kaghaz par
kitni hi taswiren hain
raat pighalte suraj ka munh dekh rahi hai
ab so jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.