aas kī beleñ jhuul rahī haiñ
yaad ke sūkhe peḌ ke saath
dil se terī qurbat kā
tābūt guzartā jaatā hai
ghar meñ pahlī bārish se
āñgan ke gamle bhīge haiñ
merī maañ kā sundar chehra
sūraj kī kirneñ chuum rahī haiñ
maañ ne baap ko ḳhvāb meñ dekhā
aaj bhī us ke hāthoñ se aaTe kā peḌā chhūT gayā
ham donoñ ne apne apne dil ko zabt kī Dorī se
bāñdh ke aañsū roke haiñ
jaane kitnā dard chhupā hai
ik 'aurat ke siine meñ
aaj bhī roTī taaza hai
aas ki belen jhul rahi hain
yaad ke sukhe peD ke sath
dil se teri qurbat ka
tabut guzarta jata hai
ghar mein pahli barish se
aangan ke gamle bhige hain
meri man ka sundar chehra
suraj ki kirnen chum rahi hain
man ne bap ko KHwab mein dekha
aaj bhi us ke hathon se aaTe ka peDa chhuT gaya
hum donon ne apne apne dil ko zabt ki Dori se
bandh ke aansu roke hain
jaane kitna dard chhupa hai
ek 'aurat ke sine mein
aaj bhi roTi taza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.