kahan jins-e-shabnam ka bazar hai
zarā tum darīche se bāhar to jhāñko
kaun nālā-kunāñ hai ye kaisī fuġhāñ hai
aTārī meñ dekho
kahīñ koī billī na ghus aa.ī ho
ye kyā hai
abābīl ke jhunD kā shor hai
darīche kī jaalī se bāhar to dekho
har ik samt āh-o-bukā hai
mirā dil hai jis se musalsal hirāsāñ
mirā dil
jo ulfat ke naġhmoñ se māmūr thā
tilism-e-bahārāñ se masrūr thā
vo dil jis ko sāda-mizājī kā ulfat kā atiya milā hai
vo dil shor-e-fariyād-e-āh-o-fuġhāñ qahr-e-mātam kahāñ tak sahegā
dhaḌkaneñ tham ga.iiñ
zindagī dam-ba-ḳhud hai
zarā phir darīche se bāhar to jhāñko
kaun hai jo laraztā huā sāñseñ ukhḌī huī
bhāgtā jā rahā hai
mirī ruuh goyā shikanje meñ mahbūs hai
uTho ġhaur se uTh ke dekho
kaun hai ye
hirāsāñ hirāsāñ kamāñ aisī sūrat
mujhe aisā lagtā hai ye merā saaya hai
jo mujh se kahīñ par judā ho gayā thā
kaun hai shab ga.e mere dar par
kis kī dastak hai ye
tumheñ pyaar kā vāsta yuuñ na baiThe raho
aise aalam meñ darvāza mat kholnā
darīchoñ ke pīchhe se mat jhāñknā
kaisī pur-haul shab hai jise barf-bārī ne sulgā diyā
jān-e-jāñ
anginat ashk kab se bahātā rahā huuñ ki ab
chashm-e-giryāñ meñ paanī nahīñ hai
kahāñ jā ke DhūñDūñ vo ashkoñ ke motī
aañkh kī jhiil sūkhe to muddat huī
kahāñ jins-e-shabnam kā bāzār hai
darīche se bāhar to dekho
zara tum dariche se bahar to jhanko
kaun nala-kunan hai ye kaisi fughan hai
aTari mein dekho
kahin koi billi na ghus aai ho
ye kya hai
ababil ke jhunD ka shor hai
dariche ki jali se bahar to dekho
har ek samt aah-o-buka hai
mera dil hai jis se musalsal hirasan
mera dil
jo ulfat ke naghmon se mamur tha
tilism-e-bahaaran se masrur tha
wo dil jis ko sada-mizaji ka ulfat ka atiya mila hai
wo dil shor-e-fariyaad-e-ah-o-fughan qahr-e-matam kahan tak sahega
dhaDkanen tham gain
zindagi dam-ba-KHud hai
zara phir dariche se bahar to jhanko
kaun hai jo larazta hua sansen ukhDi hui
bhagta ja raha hai
meri ruh goya shikanje mein mahbus hai
uTho ghaur se uTh ke dekho
kaun hai ye
hirasan hirasan kaman aisi surat
mujhe aisa lagta hai ye mera saya hai
jo mujh se kahin par juda ho gaya tha
kaun hai shab gae mere dar par
kis ki dastak hai ye
tumhein pyar ka wasta yun na baiThe raho
aise aalam mein darwaza mat kholna
darichon ke pichhe se mat jhankna
kaisi pur-haul shab hai jise barf-bari ne sulga diya
jaan-e-jaan
anginat ashk kab se bahata raha hun ki ab
chashm-e-giryan mein pani nahin hai
kahan ja ke DhunDun wo ashkon ke moti
aankh ki jhil sukhe to muddat hui
kahan jins-e-shabnam ka bazar hai
dariche se bahar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.