kahani sunane ka mausam nahin hai
kabhī sardiyoñ kī ḳhunuk aur tiira shaboñ meñ
lihāfoñ meñ ghus kar
sunī thī kahānī
kahānī sunāte the būḌhe
jinhoñne zamānoñ se un kī kahānī sunī thī
kahānī zamānoñ se bantī hai ai jaañ
magar ab zamāne zamānoñ se Thahre hue haiñ
kahānī sunāne kī sūrat nahīñ hai
kahānī sunā.eñ to kaise
kahānī sunāne kā mausam nahīñ hai
kabhi sardiyon ki KHunuk aur tera shabon mein
lihafon mein ghus kar
suni thi kahani
kahani sunate the buDhe
jinhonne zamanon se un ki kahani suni thi
kahani zamanon se banti hai ai jaan
magar ab zamane zamanon se Thahre hue hain
kahani sunane ki surat nahin hai
kahani sunaen to kaise
kahani sunane ka mausam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.