kahani sunao
kahānī sunāo kahānī sunāo
kahānī na.ī yā purānī sunāo
kahānī purānī vo rājāoñ vaalī
vahī shān-o-shaukat shahanshāhoñ vaalī
vo hāthī vo ghoḌe vo mahle do-mahle
tasavvur se jin kī zarā dil to bahle
vo zarrīn ghaḌiyāñ vo cham-cham zamāne
thā sone kī chiḌiyā ye bhārat hamārā
bulandī pe thā is kī qismat kā taarā
ye sab kuchh hameñ aaj naanī sunāo
kahānī sunāo kahānī sunāo
kahānī na.ī yā purānī sunāo
sunāo ki jab thā ḳhizāoñ kā mausam
jab apne vatan hī meñ majbūr the ham
ġhulāmī kā thā daur hindostāñ meñ
dahakte alaav the jannat-nishāñ meñ
hukūmat thī ġhairoñ kī mahkūm ham the
zamīñ tang thī āsmānī sitam the
chalī phir jo badlāo kī tez āñdhī
uThā ek nehru uThā ek gāñdhī
milī un ko jo kāmrānī sunāo
kahānī sunāo kahānī sunāo
kahānī na.ī yā purānī sunāo
kahānī anokhī kahānī nirālī
kahānī na.e atomī daur vaalī
sitāroñ kā insāñ kā tasḳhīr karnā
ḳhalāoñ ko dhartī kī jāgīr karnā
sunāo taraqqī ne kyā kyā dikhāyā
batāo jo qadmoñ tale chāñd aayā
karishme jo science ke jalva-gar haiñ
hamāre tumhāre jo zer-e-asar haiñ
haqīqat ye sab muñh-zabānī sunāo
kahānī sunāo kahānī sunāo
kahānī na.ī yā purānī sunāo
kahani sunao kahani sunao
kahani nai ya purani sunao
kahani purani wo rajaon wali
wahi shan-o-shaukat shahanshahon wali
wo hathi wo ghoDe wo mahle do-mahle
tasawwur se jin ki zara dil to bahle
wo zarrin ghaDiyan wo cham-cham zamane
tha sone ki chiDiya ye bhaarat hamara
bulandi pe tha is ki qismat ka tara
ye sab kuchh hamein aaj nani sunao
kahani sunao kahani sunao
kahani nai ya purani sunao
sunao ki jab tha KHizaon ka mausam
jab apne watan hi mein majbur the hum
ghulami ka tha daur hindostan mein
dahakte alaw the jannat-nishan mein
hukumat thi ghairon ki mahkum hum the
zamin tang thi aasmani sitam the
chali phir jo badlao ki tez aandhi
uTha ek nehru uTha ek gandhi
mili un ko jo kaamrani sunao
kahani sunao kahani sunao
kahani nai ya purani sunao
kahani anokhi kahani nirali
kahani nae atomi daur wali
sitaron ka insan ka tasKHir karna
KHalaon ko dharti ki jagir karna
sunao taraqqi ne kya kya dikhaya
batao jo qadmon tale chand aaya
karishme jo science ke jalwa-gar hain
hamare tumhaare jo zer-e-asar hain
haqiqat ye sab munh-zabani sunao
kahani sunao kahani sunao
kahani nai ya purani sunao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.