kahaaran
ik kahāran jā rahī thī haath meñ gāgar liye
zer-e-lab kuchh gungunātī kuchh nazar nīchī kiye
mast thī us kī adā.eñ ḳhuub thā us kā shabāb
āñkheñ nargis zulf sumbul āriz-e-rangīñ gulāb
aa ke panghaT par kisī se guftugū karne lagī
Daal kar rassī ko paanī khīñch kar bharne lagī
naaz se gāgar kamar par rakh ke ghar ko jab chalī
ik sadā aa.ī kahāñ jaatī hai ai nannhī kalī
sun ke ye āvāz fauran josh us ko aa gayā
ālam-e-husn-o-adā is qahr se tharrā gayā
kuchh siyāhī chhā rahī thī kuchh ujālā thā abhī
ye samāñ dekhā na thā merī nigāhoñ ne kabhī
ek kahaaran ja rahi thi hath mein gagar liye
zer-e-lab kuchh gungunati kuchh nazar nichi kiye
mast thi us ki adaen KHub tha us ka shabab
aankhen nargis zulf sumbul aariz-e-rangin gulab
aa ke panghaT par kisi se guftugu karne lagi
Dal kar rassi ko pani khinch kar bharne lagi
naz se gagar kamar par rakh ke ghar ko jab chali
ek sada aai kahan jati hai ai nannhi kali
sun ke ye aawaz fauran josh us ko aa gaya
aalam-e-husn-o-ada is qahr se tharra gaya
kuchh siyahi chha rahi thi kuchh ujala tha abhi
ye saman dekha na tha meri nigahon ne kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.