kahin se shama uTha lao
hazār laakh umīdoñ kā ham-safar sūraj
yahāñ se duur bahut duur thak ke baiTh gayā
kabhī vo dil ke darīche se jhāñktā thā kabhī
ulajhtā rahtā thā palkoñ kī chhāñv se aksar
mirī ragoñ meñ ravāñ thā kabhī lahū kī tarah
kitāb-e-umr kā chālīsvāñ varaq chhū kar
ulajh gayā huuñ koī rāsta nahīñ miltā
yahāñ se duur bahut duur tak añdherā hai
adhūrī raah pe sūraj ne saath chhoḌ diyā
kahīñ se sham.a uThā laao taaki dekh sakūñ
mirī hayāt kā aglā varaq bhī hai ki nahīñ
kahīñ se sham.a uThā laao
varna ye sāñseñ
mirī hayāt ke aurāq muntashir karke
bigāḌ deñgī mire dard kī kahānī ko
ye vo kahānī hai jis ko na koī jaan sakā
ḳhud apne aap ko paḌhne kī aarzū hī rahī
koī paḌhe na paḌhe ḳhud hī paḌh ke dekh to luuñ
ḳhud apne dard pe ro.uuñ hañsūñ ki chup hī rahūñ
ye merī āḳhirī ḳhvāhish kā āḳhirī lamha
guzārnā hai jise har tarah se apne liye
yahī hai sā.at-e-bedār
is añdhere meñ
kahīñ se sham.a uThā laao raushnī ke liye
hazar lakh umidon ka ham-safar suraj
yahan se dur bahut dur thak ke baiTh gaya
kabhi wo dil ke dariche se jhankta tha kabhi
ulajhta rahta tha palkon ki chhanw se aksar
meri ragon mein rawan tha kabhi lahu ki tarah
kitab-e-umr ka chaaliswan waraq chhu kar
ulajh gaya hun koi rasta nahin milta
yahan se dur bahut dur tak andhera hai
adhuri rah pe suraj ne sath chhoD diya
kahin se shama uTha lao taki dekh sakun
meri hayat ka agla waraq bhi hai ki nahin
kahin se shama uTha lao
warna ye sansen
meri hayat ke auraq muntashir karke
bigaD dengi mere dard ki kahani ko
ye wo kahani hai jis ko na koi jaan saka
KHud apne aap ko paDhne ki aarzu hi rahi
koi paDhe na paDhe KHud hi paDh ke dekh to lun
KHud apne dard pe roun hansun ki chup hi rahun
ye meri aaKHiri KHwahish ka aaKHiri lamha
guzarna hai jise har tarah se apne liye
yahi hai saat-e-bedar
is andhere mein
kahin se shama uTha lao raushni ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.