kahin se tum mujhe aawaz deti ho
ġhubār-e-shām ke be-aks manzar meñ havā kī saa.eñ saa.eñ
panchhiyoñ ko hāñktī hai
duur charvāhe kī bansī meñ milan-ras kā surīlā zā.iqa hai,
raat raste meñ
kahāñ se tum mujhe āvāz detī ho!
musalsal āhaTeñ merī samā.at hī na le jaa.eñ
bachā rakkhe hue aañsū kī bīnā.ī Tapaktī hai
inhīñ lafzoñ kī lau meñ raat kaTtī hai jinheñ āñkhoñ ne tasvīr
shab-e-va.ada kī sangīnī rivāyat hai
mire imroz ke chūlhe meñ bhī ab tak vahī īñdhan
bhaḌaktā hai
agar āvāz-e-rivāyat huuñ
agar āvāz detī ho
to aao sub.h ke sāhil ko chalte haiñ
lahū meñ kasmasāte qahqahe hoñToñ tak aane do
mujhe bhī muskurāne do
ghubar-e-sham ke be-aks manzar mein hawa ki saen saen
panchhiyon ko hankti hai
dur charwahe ki bansi mein milan-ras ka surila zaiqa hai,
raat raste mein
kahan se tum mujhe aawaz deti ho!
musalsal aahaTen meri samaat hi na le jaen
bacha rakkhe hue aansu ki binai Tapakti hai
inhin lafzon ki lau mein raat kaTti hai jinhen aankhon ne taswir
shab-e-wada ki sangini riwayat hai
mere imroz ke chulhe mein bhi ab tak wahi indhan
bhaDakta hai
agar aawaz-e-riwayat hun
agar aawaz deti ho
to aao subh ke sahil ko chalte hain
lahu mein kasmasate qahqahe honTon tak aane do
mujhe bhi muskurane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.