kahin TuTte hain
bahut duur tak
ye jo vīrān sī rahguzar hai
jahāñ dhuul uḌtī hai
sadiyoñ kī be-e'tinā.ī meñ
kho.e hue
qāfiloñ kī sadā.eñ bhaTaktī huī
phir rahī haiñ, daraḳhtoñ meñ
aañsū meñ
sahrāoñ kī ḳhāmushī hai
udhaḌte hue ḳhvāb haiñ
aur uḌte hue ḳhushk patte
kahīñ Thokareñ haiñ
sadā.eñ haiñ
afsūñ hai samtoñ kā
hadd-e-nazar tak
ye tārīk sā jo kura hai
ufuq-tā-ufuq jo ghanerī ridā hai
jahāñ aañkh meñ tairte haiñ zamāne
ki ham Dūbte haiñ
to is meñ
ta.alluq hii, vo raushnī hai
jo insāñ ko jiine kā rasta dikhātī hai
kandhoñ pe
hāthoñ kā lams-e-gurezāñ haiñ
hone kā mafhūm hai ġhāliban
vagarna vahī raat hai chār-sū
jis meñ ham tum bhaTakte haiñ
aur laḌkhaḌāte haiñ, girte haiñ
aur āsmāñ, haath apne baḌhā kar
kahīñ Taañk detā hai ham ko
kahīñ phir chamakte, kahīñ TūTte haiñ
bahut dur tak
ye jo viran si rahguzar hai
jahan dhul uDti hai
sadiyon ki be-e'tinai mein
khoe hue
qafilon ki sadaen bhaTakti hui
phir rahi hain, daraKHton mein
aansu mein
sahraon ki KHamushi hai
udhaDte hue KHwab hain
aur uDte hue KHushk patte
kahin Thokaren hain
sadaen hain
afsun hai samton ka
hadd-e-nazar tak
ye tarik sa jo kura hai
ufuq-ta-ufuq jo ghaneri rida hai
jahan aankh mein tairte hain zamane
ki hum Dubte hain
to is mein
talluq hi, wo raushni hai
jo insan ko jine ka rasta dikhati hai
kandhon pe
hathon ka lams-e-gurezan hain
hone ka mafhum hai ghaaliban
wagarna wahi raat hai chaar-su
jis mein hum tum bhaTakte hain
aur laDkhaDate hain, girte hain
aur aasman, hath apne baDha kar
kahin Tank deta hai hum ko
kahin phir chamakte, kahin TuTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.