kahne wala hun
mohabbat kī zamīñ hai ye yahīñ kā rahne vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use meñ kahne vaalā huuñ
vo ḳhvāboñ se nikal kar yuuñ mirī bāñhoñ meñ aa jaa.e
mirī āñkhoñ meñ jhāñke aur mire dil meñ samā jaa.e
maiñ us ke pyaar ke sāgar meñ āḳhir bahne vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use maiñ kahne vaalā huuñ
mohabbat vo diyā hai jo bujhā.e bhī nahīñ bujhtā
ye ik aisā ḳhazāna hai ghaTāne se nahīñ ghaTtā
maiñ ik jām-e-mohabbat us ke hāthoñ piine vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use maiñ kahne vaalā huuñ
mohabbat do diloñ kī dhaḌkanoñ kā ek hai sangam
mohabbat ghaav detī hai mohabbat aap hī marham
hamesha saath rahne kā maiñ vā'da lene vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use maiñ kahne vaalā huuñ
mohabbat karne vaale nafratoñ se duur rahte haiñ
sadā masrūr rahte haiñ sadā maḳhmūr rahte haiñ
maiñ us ke saath apnī zindagī ko jiine vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use maiñ kahne vaalā huuñ
vo mujh se ruuTh jā.egī to maiñ us ko manā lūñgā
maiñ qisse aur latīfe bhī sunā kar phir hañsā lūñgā
maiñ us kī chaah meñ naḳhre bhī aksar sahne vaalā huuñ
jise maiñ pyaar kartā huuñ use maiñ kahne vaalā huuñ
mohabbat ki zamin hai ye yahin ka rahne wala hun
jise main pyar karta hun use mein kahne wala hun
wo KHwabon se nikal kar yun meri banhon mein aa jae
meri aankhon mein jhanke aur mere dil mein sama jae
main us ke pyar ke sagar mein aaKHir bahne wala hun
jise main pyar karta hun use main kahne wala hun
mohabbat wo diya hai jo bujhae bhi nahin bujhta
ye ek aisa KHazana hai ghaTane se nahin ghaTta
main ek jam-e-mohabbat us ke hathon pine wala hun
jise main pyar karta hun use main kahne wala hun
mohabbat do dilon ki dhaDkanon ka ek hai sangam
mohabbat ghaw deti hai mohabbat aap hi marham
hamesha sath rahne ka main wa'da lene wala hun
jise main pyar karta hun use main kahne wala hun
mohabbat karne wale nafraton se dur rahte hain
sada masrur rahte hain sada maKHmur rahte hain
main us ke sath apni zindagi ko jine wala hun
jise main pyar karta hun use main kahne wala hun
wo mujh se ruTh jaegi to main us ko mana lunga
main qisse aur latife bhi suna kar phir hansa lunga
main us ki chah mein naKHre bhi aksar sahne wala hun
jise main pyar karta hun use main kahne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.