kaho git kaisa laga
daftar meñ
daftar se bāhar
bhiiḌ meñ
niiñd meñ
dostoñ kī
mahfiloñ meñ
dushmanoñ kī
sohbatoñ meñ
chaa.e kī pyālī par
qahqahoñ meñ
chahchahoñ meñ
har lamha
har aan
tumhāre chehre se
juḌī
talḳh aab yādoñ kī
pyaas
mere zehn ke sahrā meñ
ret kī taraf
uḌtī hai
aise meñ mujhe
ġharnāta ke
ḳhāna-ba-doshoñ kā
ek giit
yaad aatā hai
lo tum bhī suno
giit kuchh is tarah hai
ek aise shaḳhs ko
pyaar karnā
jo tumheñ na chāhtā ho
pyaar hai
ek aise shaḳhs ko
pyaar karnā
jo tumheñ bhī chāhtā ho
kārobār hai
aur aisā to har koī
kar saktā hai
kaho giit kaisā lagā
daftar mein
daftar se bahar
bhiD mein
nind mein
doston ki
mahfilon mein
dushmanon ki
sohbaton mein
chae ki pyali par
qahqahon mein
chahchahon mein
har lamha
har aan
tumhaare chehre se
juDi
talKH aab yaadon ki
pyas
mere zehn ke sahra mein
ret ki taraf
uDti hai
aise mein mujhe
gharnata ke
KHana-ba-doshon ka
ek git
yaad aata hai
lo tum bhi suno
git kuchh is tarah hai
ek aise shaKHs ko
pyar karna
jo tumhein na chahta ho
pyar hai
ek aise shaKHs ko
pyar karna
jo tumhein bhi chahta ho
karobar hai
aur aisa to har koi
kar sakta hai
kaho git kaisa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.