Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaif-e-mausiqi

Sahba lakhnavi

kaif-e-mausiqi

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    uñgliyoñ ne chhū diyā barbat dhun bahne lagī

    abr-e-mausīqī se vo chhan chhan ke ye kahne lagī

    thaam lo dil ko jahāñ mad.hosh ho jaane ko hai

    god meñ merī abhī ḳhāmosh ho jaane ko hai

    naġhma pahlī kiran meñ kho gayā tār-e-rabāb

    niiñd aane lagī sone lagā merā shabāb

    yak-ba-yak dhārā ik bahne lagā be-iḳhtiyār

    bah chalā mānind-e-dariyā chhā gayā misl-e-bahār

    rāgnī dhaar ne phir chhū liyā dil ko mire

    sail-e-mausīqī ne paanī kar diyā dil ko mire

    kaif-e-mausīqī ne paanī kar diyā dil ko mire

    kho ga.iiñ ublīñ bahīñ bah kar thamīñ tham kar bahīñ

    ek duniyā murta.ish thī mauja-e-naġhmāt par

    ik ajab ḳhvābīdgī taarī thī kā.enāt par

    daur-e-mausīqī meñ din thā aur na thī taḳhsīs-e-shab

    ek vaqt-e-jāvedāñ ik arsa-e-mauj-e-tarab

    ungliyon ne chhu diya barbat ki dhun bahne lagi

    abr-e-mausiqi se wo chhan chhan ke ye kahne lagi

    tham lo dil ko jahan madhosh ho jaane ko hai

    god mein meri abhi KHamosh ho jaane ko hai

    naghma ki pahli kiran mein kho gaya tar-e-rabab

    nind si aane lagi sone laga mera shabab

    yak-ba-yak dhaara sa ek bahne laga be-iKHtiyar

    bah chala manind-e-dariya chha gaya misl-e-bahaar

    ragni ki dhaar ne phir chhu liya dil ko mere

    sail-e-mausiqi ne pani kar diya dil ko mere

    kaif-e-mausiqi ne pani kar diya dil ko mere

    kho gain ublin bahin bah kar thamin tham kar bahin

    ek duniya murtaish thi mauja-e-naghmat par

    ek ajab KHwabidgi tari thi kaenat par

    daur-e-mausiqi mein din tha aur na thi taKHsis-e-shab

    ek waqt-e-jawedan ek arsa-e-mauj-e-tarab

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now