kal
aane vaalā kal
jangoñ kā zamāna hogā
bhuuk ugegī khaliyānoñ meñ
paanī bikegā dīnāroñ meñ
dhartī kā siina chhalnī chhalnī hogā
aane vaalā kal kitnā sangīn hogā
kokh dhartī kī vīrāñ hogī
sadiyoñ na koī paidā daana hogā
hiroshima ko log bhuul jā.eñge
nafratoñ se bhalā kyā pā.eñge
har apnā begāna hogā
aane vaalā kal
jangoñ kā zamāna hogā
jism bikeñge roTī ke badle
īmān bikegā muft ke bhaav
khāne ko jab kuchh na hogā
aane vaalā kal aisā hogā
aane vaalā kal gar aisā hogā
duniyā kā naqsha phir kaisā hogā
kaash aisā ho jaa.e
vaqt yahīñ Thahar jaa.e
aane vaalā kal kabhī na aa.e
aane wala kal
jangon ka zamana hoga
bhuk ugegi khaliyanon mein
pani bikega dinaron mein
dharti ka sina chhalni chhalni hoga
aane wala kal kitna sangin hoga
kokh dharti ki viran hogi
sadiyon na koi paida dana hoga
hiroshima ko log bhul jaenge
nafraton se bhala kya paenge
har apna begana hoga
aane wala kal
jangon ka zamana hoga
jism bikenge roTi ke badle
iman bikega muft ke bhaw
khane ko jab kuchh na hoga
aane wala kal aisa hoga
aane wala kal gar aisa hoga
duniya ka naqsha phir kaisa hoga
kash aisa ho jae
waqt yahin Thahar jae
aane wala kal kabhi na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.