kal ek pahaD pe sar rakh ke so raha tha jab
kal ik pahāḌ pe sar rakh ke so rahā thā jab
maiñ āsmān kī aahaT se uTh ke baiTh gayā
baḌe qarīb se guzrā thā āsmāñ kal bhī
ḳhazāna luuT ke laayā thā kā.enāt se vo
na jaane kitne sitāre the kitne sayyāre
maiñ us ko jaatā huā dekhtā rahā shab bhar
phir ik jagah pe rukā vo
ufuq pe paañv rakhā bolā khul jā sim-sim
ik āftāb kī chaTTān haTte haTte haTī
to din kā ġhaar khulā
ḳhazāna dekh kar chuñdhiyā ga.iiñ āñkheñ
maiñ ik ġharīb alī baabā aur merā gadhā
batāo kitnā uThā leñge gar uThā bhī leñ
kal ek pahaD pe sar rakh ke so raha tha jab
main aasman ki aahaT se uTh ke baiTh gaya
baDe qarib se guzra tha aasman kal bhi
KHazana luT ke laya tha kaenat se wo
na jaane kitne sitare the kitne sayyare
main us ko jata hua dekhta raha shab bhar
phir ek jagah pe ruka wo
ufuq pe panw rakha bola khul ja sim-sim
ek aaftab ki chaTTan haTte haTte haTi
to din ka ghaar khula
KHazana dekh kar chundhiya gain aankhen
main ek gharib ali baba aur mera gadha
batao kitna uTha lenge gar uTha bhi len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.