kal ki baat lagti hai
Interesting Fact
(On his birthday April 4, 1988)
pyaar kī kahānī bhī
muḳhtasar javānī bhī
vo ghaḌī suhānī bhī
vaqt kī ravānī bhī
kis ke haat lagtī hai
dasht bahr-o-bar ambar
phuul chashm-e-tar gauhar
ā.īna ho yā patthar
fitna-sāzī-e-manzar
vārdāt lagtī hai
tarf-e-gul khile the jab
zaḳhm hī sile the jab
ġham ke silsile the jab
tum ko kuchh gile the jab
sab kī maat lagtī hai
apnī bhuul kuchh bhī ho
aur usuul kuchh bhī ho
arz-o-tūl kuchh bhī ho
jab qubūl kuchh bhī ho
kā.enāt lagtī hai
shoḳhiyāñ irādoñ kī
nīm-jāñ murādoñ kī
ziist kam-savādoñ kī
be-shumār yādoñ kī
ik barāt lagtī hai
baḳht-e-nā-rasā.ī de
har koī duhā.ī de
jab na kuchh dikhā.ī de
kaun rahnumā.ī de
saḳht raat lagtī hai
jabr kī siyah-poshī
aur qazā kī ham-doshī
hasrat-e-vafā-koshī
maslahat kī ḳhāmoshī
bas najāt lagtī hai
uf ye daur-e-bechainī
uljhaneñ masā.il kī
soch meñ baġhāvat bhī
jis se shā.irī merī
aks-e-zāt lagtī hai
ai merī muhīt-e-jāñ
kar chuke har ik makāñ
nazr-e-shahr-e-be-mehrāñ
ab to rāhat-e-daurāñ
be-sabāt lagtī hai
jaise ḳhvāboñ kī chilman
vo ujaaḌ sā āñgan
ye harā-bharā gulshan
saal ho ga.e pachpan
kal kī baat lagtī hai
pyar ki kahani bhi
muKHtasar jawani bhi
wo ghaDi suhani bhi
waqt ki rawani bhi
kis ke hat lagti hai
dasht bahr-o-bar ambar
phul chashm-e-tar gauhar
aaina ho ya patthar
fitna-sazi-e-manzar
wardat lagti hai
tarf-e-gul khile the jab
zaKHm hi sile the jab
gham ke silsile the jab
tum ko kuchh gile the jab
sab ki mat lagti hai
apni bhul kuchh bhi ho
aur usul kuchh bhi ho
arz-o-tul kuchh bhi ho
jab qubul kuchh bhi ho
kaenat lagti hai
shoKHiyan iradon ki
nim-jaan muradon ki
zist kam-sawadon ki
be-shumar yaadon ki
ek baraat lagti hai
baKHt-e-na-rasai de
har koi duhai de
jab na kuchh dikhai de
kaun rahnumai de
saKHt raat lagti hai
jabr ki siyah-poshi
aur qaza ki ham-doshi
hasrat-e-wafa-koshi
maslahat ki KHamoshi
bas najat lagti hai
uf ye daur-e-bechaini
uljhanen masail ki
soch mein baghawat bhi
jis se shairi meri
aks-e-zat lagti hai
ai meri muhit-e-jaan
kar chuke har ek makan
nazr-e-shahr-e-be-mehran
ab to rahat-e-dauran
be-sabaat lagti hai
jaise KHwabon ki chilman
wo ujaD sa aangan
ye hara-bhara gulshan
sal ho gae pachpan
kal ki baat lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.