kalid
ye kaisā safar hai
ki jis meñ tire ghar kī chaukhaT na guzrī
mire be-navā paañv ke aage pīchhe
tire ghar kī dīvāroñ meñ simTā simTā
mire hisse kā ek be-mehr saaya
kabhī apne hujre se bāhar na niklā
ye kin rāstoñ se guzarnā huā hai
har ik moḌ par istifhām-e-mukarrar
ye maanā ki ham sab kī sāñseñ haiñ girvī
ki ye vaqt terā hī taabe na merā
magar jaane kyoñ ik yaqīñ sā hai mujh ko
tū chāhe to TuuTe tilism-e-zamāna
ye kaisa safar hai
ki jis mein tere ghar ki chaukhaT na guzri
mere be-nawa panw ke aage pichhe
tere ghar ki diwaron mein simTa simTa
mere hisse ka ek be-mehr saya
kabhi apne hujre se bahar na nikla
ye kin raston se guzarna hua hai
har ek moD par istifham-e-mukarrar
ye mana ki hum sab ki sansen hain girwi
ki ye waqt tera hi tabe na mera
magar jaane kyon ek yaqin sa hai mujh ko
tu chahe to TuTe tilism-e-zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.