kamre se bahar ka KHauf
mere kamre meñ
khiḌkī kā parda haTā kar darinda koī ghus rahā hai
kivāḌoñ meñ key-hole se aañkh ifrīt kī jhāñk kar dekhtī hai
qarīñ ventilator ke chamgādaḌeñ jhūltī haiñ
kitāboñ ke Table se chimTā huā saañp phan kāḌhtā hai
vahāñ hanger se laTaktā hai bichchhū
lapaktā huā chaḌh gayā carnas par koī kekḌā hai
vo T v ke pīchhe se hotī hai jo sarsarāhaT kisī cockroach kī nahīñ hai
udhar lamp kī oT se ghūrtī chhipkalī kar rahī hai ishāre
masahrī se lag kar karīh aur bad-shakl makḌā khaḌā hai
lihāf aur bistar meñ takiye ke nīche sarakte hue kankhajuroñ kā dil nāchtā hai
mirī aañkh meñ reñgtī sā.atoñ se laraztī hai dīvār
calendar bhayānak ḳhamoshī meñ par phaḌphaḌātā hai
khā kar havāoñ ke thappaḌ baḌe zor se chīḳhtā hai nikal jaao
lekin
mujhe ye pata hai
ki kamre se bāhar agar maiñ nikal kar gayā to
ye sach hai ki patthar kā ho jā.ūñgā
mere kamre mein
khiDki ka parda haTa kar darinda koi ghus raha hai
kiwaDon mein key-hole se aankh ifrit ki jhank kar dekhti hai
qarin wentilator ke chamgadaDen jhulti hain
kitabon ke Table se chimTa hua sanp phan kaDhta hai
wahan hanger se laTakta hai bichchhu
lapakta hua chaDh gaya carnas par koi kekDa hai
wo T w ke pichhe se hoti hai jo sarsarahaT kisi cockroach ki nahin hai
udhar lamp ki oT se ghurti chhipkali kar rahi hai ishaare
masahri se lag kar karih aur bad-shakl makDa khaDa hai
lihaf aur bistar mein takiye ke niche sarakte hue kankhajuron ka dil nachta hai
meri aankh mein rengti saaton se larazti hai diwar
calendar bhayanak KHamoshi mein par phaDphaData hai
kha kar hawaon ke thappaD baDe zor se chiKHta hai nikal jao
lekin
mujhe ye pata hai
ki kamre se bahar agar main nikal kar gaya to
ye sach hai ki patthar ka ho jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.