kangal
tumheñ bhī ma.alūm hai mujhe bhī
ki paas mere to kuchh nahīñ hai
jo zar-parastī ke is jahāñ meñ
mujhe bhī kuchh mo'atabar banā de
na qīmtī hai libās merā
na māl-o-daulat zar-o-javāhar
ki jin meñ tum ko sharīk kar luuñ
mirī to daulat ajiib sī hai
mirī matā-e-jahāñ meñ tum ko
bahut sī rusvā.iyāñ mileñgī
vafā ke aañsū gumāñ kī ḳhushiyāñ
junūñ kī dānā.iyāñ mileñgī
miThās meñ talḳhiyāñ mileñgī
qalam kī sachchā.iyāñ mileñgī
ḳhulūs-e-jazbāt kī lagan kī
athāh gahrā.iyāñ mileñgī
mirī to daulat ajiib sī hai
agar kaho to sharīk kar luuñ
tumheñ bhī apnī matā-e-dil meñ
ki paas mere to kuchh nahīñ hai
tumhein bhi malum hai mujhe bhi
ki pas mere to kuchh nahin hai
jo zar-parasti ke is jahan mein
mujhe bhi kuchh mo'atabar bana de
na qimti hai libas mera
na mal-o-daulat zar-o-jawahar
ki jin mein tum ko sharik kar lun
meri to daulat ajib si hai
meri mata-e-jahan mein tum ko
bahut si ruswaiyan milengi
wafa ke aansu guman ki KHushiyan
junun ki danaiyan milengi
miThas mein talKHiyan milengi
qalam ki sachchaiyan milengi
KHulus-e-jazbaat ki lagan ki
athah gahraiyan milengi
meri to daulat ajib si hai
agar kaho to sharik kar lun
tumhein bhi apni mata-e-dil mein
ki pas mere to kuchh nahin hai
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 81)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.