kans
us ko yuuñ lagtā thā jaise kuchh na kuchh kal ho rahegā
jab vo muḌ kar dekhtā thā us ko yuuñ lagtā thā jaise ik bahan ke saat beTe us kā pīchhā kar rahe hoñ
aa.ine meñ aks us ko sirf gardan tak dikhā.ī de rahā thā
us kī parchhā.īñ yuuñ lagtī thī ki jaise rauzanoñ se aT ga.ī
saañs kī āvāz jaane kis jagah gum ho ga.ī thī
har sitāra jaise ḳhud ko aañkh meñ dohrā rahā thā
jab vo chāhtā thā to us ke naqsh-e-pā miTTī pe bante hī nahīñ the
jaise us ne surḳh sho.ale haar meñ gūñthe hue hoñ
jaise vo mathurā meñ mādar-zād nangā phir rahā ho
aur us ko yaad aaya us ko nārad ne batāyā thā vo apne baap kā beTā nahīñ hai
us kā tanhā farz apne rishta-dāroñ par mazālim toḌnā hai
us ko kyā ma.alūm thā jab maut aa.egī to rishta-dār ban kar aa.egī
jab vo muḌ kar dekhtā thā us ko yuuñ lagtā thā jaise āThveñ beTe ke dast-e-rāst meñ
ik gadā hai jis pe us ke naam ke hijje raqam haiñ
us ko yun lagta tha jaise kuchh na kuchh kal ho rahega
jab wo muD kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise ek bahan ke sat beTe us ka pichha kar rahe hon
aaine mein aks us ko sirf gardan tak dikhai de raha tha
us ki parchhain yun lagti thi ki jaise rauzanon se aT gai
sans ki aawaz jaane kis jagah gum ho gai thi
har sitara jaise KHud ko aankh mein dohra raha tha
jab wo chahta tha to us ke naqsh-e-pa miTTi pe bante hi nahin the
jaise us ne surKH shoale haar mein gunthe hue hon
jaise wo mathura mein madar-zad nanga phir raha ho
aur us ko yaad aaya us ko narad ne bataya tha wo apne bap ka beTa nahin hai
us ka tanha farz apne rishta-daron par mazalim toDna hai
us ko kya malum tha jab maut aaegi to rishta-dar ban kar aaegi
jab wo muD kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise aaThwen beTe ke dast-e-rast mein
ek gada hai jis pe us ke nam ke hijje raqam hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.