jab barf girī kohsāroñ par
ham niiñd meñ chalne vāloñ ne ik giit likhā tyauhāroñ kā
kuchh katbe guzre lamhoñ ke
jo lamhe vaqt kī muTThī se chhīne the naam koī le kar
kuchh aas kī beleñ jhuul rahī thiiñ
lakḌī ke darvāze se
ik saaya ham se dhuup meñ bhī
rahtā thā lams kī duurī par
do-zānū ham bhī baiTh ga.e
ik buuñd musalsal girne se patthar bhī rasta dete haiñ
phir barf pighalne vaalī thī
ik gāñTh lagī us dhāge ko jo bilkul us sā nāzuk hai aur Tuut gayā thā
saḳhtī se
vo saaya mere sar par hai
ham ik duuje ke zaḳhmoñ par ab chuum ke marham rakhte haiñ
ham ḳhushbū bhīge jismoñ kī bharte haiñ
apnī sāñsoñ meñ
dekho ham phir se saath khaḌe
hañste haiñ guzre vaqtoñ par
jab barf giri kohsaron par
hum nind mein chalne walon ne ek git likha tyauhaaron ka
kuchh katbe guzre lamhon ke
jo lamhe waqt ki muTThi se chhine the nam koi le kar
kuchh aas ki belen jhul rahi thin
lakDi ke darwaze se
ek saya hum se dhup mein bhi
rahta tha lams ki duri par
do-zanu hum bhi baiTh gae
ek bund musalsal girne se patthar bhi rasta dete hain
phir barf pighalne wali thi
ek ganTh lagi us dhage ko jo bilkul us sa nazuk hai aur Tut gaya tha
saKHti se
wo saya mere sar par hai
hum ek duje ke zaKHmon par ab chum ke marham rakhte hain
hum KHushbu bhige jismon ki bharte hain
apni sanson mein
dekho hum phir se sath khaDe
hanste hain guzre waqton par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.