kapas ka phul
tum mujhe qatl na karo
maiñ ḳhud ka.ī TukḌoñ meñ baT jā.ūñgā
merā ek TukḌā
kapās kā phuul ban jā.egā
aur dūsrā vo aag
jo kapās ke phuul se raushan hotī hai
tum mujhe qatl na karo
maiñ ḳhud ka.ī TukḌoñ meñ
baT jā.ūñgā
merā ek TukḌā
dariyā ban jā.egā aur dūsrā
vo chāñd jo is dariyā meñ Duub jaatā hai
haañ mujhe qatl na karo
kyūñki maiñ apnī shahādat kī
gavāhī dene ke liye dobāra
paidā ho jā.ūñgā
kyā tum nahīñ dekhte ki sūraj
dobāra nikal aatā hai
chāñd dobāra tulūa ho jaatā hai
aur kapās kā phuul dobāra khil jaatā hai
aur ibādat-gāhoñ meñ aag
dobāra raushan ho jaatī hai
tum mujhe qatl na karo
main KHud kai TukDon mein baT jaunga
mera ek TukDa
kapas ka phul ban jaega
aur dusra wo aag
jo kapas ke phul se raushan hoti hai
tum mujhe qatl na karo
main KHud kai TukDon mein
baT jaunga
mera ek TukDa
dariya ban jaega aur dusra
wo chand jo is dariya mein Dub jata hai
han mujhe qatl na karo
kyunki main apni shahadat ki
gawahi dene ke liye dobara
paida ho jaunga
kya tum nahin dekhte ki suraj
dobara nikal aata hai
chand dobara tulua ho jata hai
aur kapas ka phul dobara khil jata hai
aur ibaadat-gahon mein aag
dobara raushan ho jati hai
- Book : chahaar khvaab (Pg. 148)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.