kar ke ek bar taghaful na mujhe pyar karo
kar ke ik baar taġhāful na mujhe pyaar karo
phir se ḳhvābīda tamanna ko na bedār karo
jāntā huuñ ki tumhāre liye ik ġhair huuñ maiñ
tum pe kyā haq hai mirā tum mujhe kyoñ pyaar karo
dastaras se mirī bāhar ho tum ai jān-e-jahāñ
dil magar phir bhī ye kahtā hai mujhe pyaar karo
chupke chupke maiñ tumheñ pyaar kiyā kartā thā
maiñ ne kab tum se kahā thā ki mujhe pyaar karo
dil-e-betāb mirā hosh meñ aa jā.egā
apnī in mast nigāhoñ ko to hushiyār karo
be-ruḳhī thī to ayādat ko na aa.e hote
ab jo aa.e ho to kuchh pursish-e-bīmār karo
hijr-e-jānāñ meñ tabī.at jo mukaddar hai 'jalīl'
jaao kuchh der ko sair-e-gul-o-gulzār karo
kar ke ek bar taghaful na mujhe pyar karo
phir se KHwabida tamanna ko na bedar karo
jaanta hun ki tumhaare liye ek ghair hun main
tum pe kya haq hai mera tum mujhe kyon pyar karo
dastaras se meri bahar ho tum ai jaan-e-jahan
dil magar phir bhi ye kahta hai mujhe pyar karo
chupke chupke main tumhein pyar kiya karta tha
main ne kab tum se kaha tha ki mujhe pyar karo
dil-e-betab mera hosh mein aa jaega
apni in mast nigahon ko to hushiyar karo
be-ruKHi thi to ayaadat ko na aae hote
ab jo aae ho to kuchh pursish-e-bimar karo
hijr-e-jaanan mein tabiat jo mukaddar hai 'jalil'
jao kuchh der ko sair-e-gul-o-gulzar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.