karb aagahi
phir vahī andāz vahī āvāz
jaise abhī koī kahegā
tum merī raushnī ho
vahī āvāz
jis ne mohabbat se nafrat karnā sikhāyā
jis ne bāvar karāyā ki jism kī to koī haqīqat hī nahīñ
aadmī se aadmī kā rishta kabhī bhī be-ma.ānī ho saktā hai
tab kisī biite hue bikhre lamhe meñ dī ga.ī āvāz Duub jaatī hai
magar ab kī baar āvāz se āvāz tak ke safar ne jo naam pukārā
to ma.alūm huā
ki man meñ kahīñ TuuTī huī chūḌī kā TukḌā rah gayā thā
jo ab is āvāz kī lai pe baar baar chubhtā hai
phir wahi andaz wahi aawaz
jaise abhi koi kahega
tum meri raushni ho
wahi aawaz
jis ne mohabbat se nafrat karna sikhaya
jis ne bawar karaya ki jism ki to koi haqiqat hi nahin
aadmi se aadmi ka rishta kabhi bhi be-maani ho sakta hai
tab kisi bite hue bikhre lamhe mein di gai aawaz Dub jati hai
magar ab ki bar aawaz se aawaz tak ke safar ne jo nam pukara
to malum hua
ki man mein kahin TuTi hui chuDi ka TukDa rah gaya tha
jo ab is aawaz ki lai pe bar bar chubhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.