karb-e-musalsal
kal bhī ye karb thā aur tīra-shabī thī lekin
kal to aaya thā koī sub.h-e-nau ummīd liye
ye alag baat ki TuuTe the sitāre kal bhī
mere be-nām se jazbāt kī tardīd liye
kal bhī yūñhī dar-e-zindāñ thā muqaffal lekin
zindagī qaid se is darja pareshān na thī
ziist kā mujh pe koī baar nahīñ thā kal tak
aarzū dil kī shikasta thī pashemān na thī
haañ magar aaj nayā hādisa guzrā hai yahāñ
zindagī ġham se shikasta bhī pareshān bhī hai
dil koī harf-e-ġhalat ban ke miTā jaatā hai
aur har saañs girāñ-bār-o-pashemān bhī hai
mujh ko mā'lūm hai ye qaid ye tanhā.ī-e-shab
sab ke sab merī hī taqdīr kā hāsil kyoñ haiñ
kyoñ ye mahrūmī-e-paiham kā fusūñ taarī hai
ḳhvāhisheñ aaj bhī pāband-e-salāsil kyoñ haiñ
haañ magar tum se mire dard kā rishta bhī nahīñ
‘ishrat-o-‘aish kā māhaul tumheñ raas aaya
maiñ ne jis zo'm meñ rusvā.ī ke tā'ne jhele
us kā anjām-e-balā-ḳhez mire paas aaya
aaj hālāt muāfiq nahīñ ḳhuddārī ke
ik na.ī tishna-labī tesha-zanī laa.ī hai
tum to har tarh se shādāñ ho magar merā ġham
qaid-e-tanhā.ī hai aur jaan pe ban aa.ī hai
aaj bhī karb-e-musalsal kā vahī 'ālam hai
silsila har na.ī uljhan kā isī ġham se hai
aaj bhī zehn meñ zinda haiñ vahī afsāne
jin kā rishta bhī isī gesu-e-pur-ḳham se hai
aaj ḳhud mujh pe mirā josh-e-junūñ hañstā hai
aaj maiñ ishq-e-balā-ḳhez pe sharminda huuñ
aur ye tark-e-mohabbat kī sazā hai shāyad
aaj maiñ ḳhud se gurezāñ huuñ magar zinda huuñ
kal bhi ye karb tha aur tira-shabi thi lekin
kal to aaya tha koi subh-e-nau ummid liye
ye alag baat ki TuTe the sitare kal bhi
mere be-nam se jazbaat ki tardid liye
kal bhi yunhi dar-e-zindan tha muqaffal lekin
zindagi qaid se is darja pareshan na thi
zist ka mujh pe koi bar nahin tha kal tak
aarzu dil ki shikasta thi pasheman na thi
han magar aaj naya hadisa guzra hai yahan
zindagi gham se shikasta bhi pareshan bhi hai
dil koi harf-e-ghalat ban ke miTa jata hai
aur har sans giran-bar-o-pasheman bhi hai
mujh ko ma'lum hai ye qaid ye tanhai-e-shab
sab ke sab meri hi taqdir ka hasil kyon hain
kyon ye mahrumi-e-paiham ka fusun tari hai
KHwahishen aaj bhi paband-e-salasil kyon hain
han magar tum se mere dard ka rishta bhi nahin
‘ishrat-o-‘aish ka mahaul tumhein ras aaya
main ne jis zo'm mein ruswai ke ta'ne jhele
us ka anjam-e-bala-KHez mere pas aaya
aaj haalat muafiq nahin KHuddari ke
ek nai tishna-labi tesha-zani lai hai
tum to har tarh se shadan ho magar mera gham
qaid-e-tanhai hai aur jaan pe ban aai hai
aaj bhi karb-e-musalsal ka wahi 'alam hai
silsila har nai uljhan ka isi gham se hai
aaj bhi zehn mein zinda hain wahi afsane
jin ka rishta bhi isi gesu-e-pur-KHam se hai
aaj KHud mujh pe mera josh-e-junun hansta hai
aaj main ishq-e-bala-KHez pe sharminda hun
aur ye tark-e-mohabbat ki saza hai shayad
aaj main KHud se gurezan hun magar zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.