karb ki intiha
tum charlie ke lafzoñ ko udās-tarīn kahte ho
shāyad tum ne merī kahānī nahīñ paḌhī
agar kafka zinda hotā to mujh par ek afsāna
zarūr likhtā
mujhe ummīd hai chekhov aur kafka mil kar
jannat aur jahannum kī darmiyānī
dīvār par baiThe
mere dukhoñ ko likh rahe hoñge
vo mere hālāt par ġham-zada hoñge
aur apne afsāne ḳhudā ko sunā rahe hoñge
jagjīt aur mehdī hasan mere
ġham ḳhudā ke aage gungunā rahe hoñge
marquez merī zindagī par
tanhā.ī ke sau saal kā dūsrā hissa likh rahā hogā
aur vincent merī be-rang zindagī ko
apne canvas par rangīn banā rahā hogā
ye sab mil kar karb kī ek dāstān likheñge
phir use ḳhudā kī bārgāh meñ
pesh kareñge
tab shāyad ḳhudā mujh par rahm ke darvāze khol de
tum charlie ke lafzon ko udas-tarin kahte ho
shayad tum ne meri kahani nahin paDhi
agar kafka zinda hota to mujh par ek afsana
zarur likhta
mujhe ummid hai chekhow aur kafka mil kar
jannat aur jahannum ki darmiyani
diwar par baiThe
mere dukhon ko likh rahe honge
wo mere haalat par gham-zada honge
aur apne afsane KHuda ko suna rahe honge
jagjit aur mehdi hasan mere
gham KHuda ke aage gunguna rahe honge
marquez meri zindagi par
tanhai ke sau sal ka dusra hissa likh raha hoga
aur wincent meri be-rang zindagi ko
apne canwas par rangin bana raha hoga
ye sab mil kar karb ki ek dastan likhenge
phir use KHuda ki bargah mein
pesh karenge
tab shayad KHuda mujh par rahm ke darwaze khol de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.