kasak
ḳhāmushī TuuT chukī thī
chaḌhtī umr kā nasha
ab bolne lagā thā
soyā nahīñ thā abhī kam-sinī kā alhaḌ-pan
us ke paikar ke ḳhutūt
nafīs tabī.at
narm lahja
boltī āñkheñ
lambe ghane mulā.em baal
us ke kāñdhoñ pe yuuñ bikharte jaise
barastī ghaTā.eñ
fazā meñ apnā jaadū jagāne ko be-qarār hoñ
mere aur us ke
hoñToñ kā gulābī-pan ab nikharne lagā thā
hamārī āñkhoñ kī sargoshiyāñ
log samajhne lage the
vo rihā.ish-gāh jahāñ ham āḳhirī baar mile the
vahāñ aziim imārat khaḌī hai
maiñ ab bhī vahāñ se guzartā huuñ
to yuuñ gumāñ hotā hai jaise
shamīm-e-zulf hai ab tak basī fazāoñ meñ
KHamushi TuT chuki thi
chaDhti umr ka nasha
ab bolne laga tha
soya nahin tha abhi kam-sini ka alhaD-pan
us ke paikar ke KHutut
nafis tabiat
narm lahja
bolti aankhen
lambe ghane mulaem baal
us ke kandhon pe yun bikharte jaise
barasti ghaTaen
faza mein apna jadu jagane ko be-qarar hon
mere aur us ke
honTon ka gulabi-pan ab nikharne laga tha
hamari aankhon ki sargoshiyan
log samajhne lage the
wo rihaish-gah jahan hum aaKHiri bar mile the
wahan azim imarat khaDi hai
main ab bhi wahan se guzarta hun
to yun guman hota hai jaise
shamim-e-zulf hai ab tak basi fazaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.