kashkol
maiñ jab is shahr meñ aatā huuñ saḌkoñ se guzartā huuñ
to ik chhoTī sī laḌkī yaad aatī hai
darīda pairahan TuuTā huā kashkol hāthoñ meñ
aur us kashkol meñ sikke
magar maiñ us kī sūrat dekh kar hairān hotā thā
ajab sī puḳhtagī thī darj un ma.asūm āñkhoñ meñ
ki jaise zindagī bhar tajraboñ kī bhiik māñgī ho
yahāñ is shahr kī saḌkoñ pe yūñhī saiñkaḌoñ bachche
liye kashkol hāthoñ meñ
savālī rāh-gīroñ se
kise fursat ki in chīzoñ kī tahrīreñ paḌhe samjhe
magar chhoTī sī vo laḌkī baḌī mānūs thī mujh se
vo mujh ko dekhtī to bhaag kar nazdīk aatī thī
zarā sā muskurātī thī
ki jaise koī rishta ho ki jaise koī apnā ho
maiñ us kashkol meñ do-chār sikke Daal detā thā
yuuñ hī bas be-irāda ek din maiñ us ke ghar pahuñchā
bas ik TuuTā huā bosīda kamra thā
aur ik TuuTā palañg jis par
koī ma.azūr aurat thī
jo shāyad us kī maañ hogī
baras guzre
aur us chhoTī sī laḌkī ne
javānī ke zarā nazdīk jab pahlā qadam rakhā
to us ke jism ko shāyad koī kashkol hī samjhā
kalī khilne na paa.ī thī ki ḳhushbū luuT lī us kī
ki vo to be-sahārā thī
use vo de gayā koī jo māñgā hī na thā us ne
ab us kī god meñ nannhī sī ik ma.asūm bachchī thī
bahut din baa'd phir aanā huā us shahr meñ merā
tajassus mujh ko le aayā usī bosīda kamre tak
vahāñ kuchh bhī na badlā thā
vahī bosīda kamra thā vahī TuuTā palañg bhī thā
palañg par thī vahī laḌkī
magar ab vo bas ik ma.azūr aurat thī
usī lamhe darīda pairahan chhoTī sī ik laḌkī
liye TuuTā huā kashkol hāthoñ meñ vahāñ aa.ī
mujhe aisā lagā jaise kahānī bhī purānī thī
vahī kashkol aur sikke vahī chhoTī sī ik laḌkī
aur us ke saath bhī honā vahī thā
jo ab tak hotā aayā thā
use bhī ek din ma.azūr honā thā
kabhī jab shahr kī saḌkoñ pe chhoTī sī koī laḌkī
darīda pairahan kashkol hāthoñ meñ sañbhāle
savālī ban ke mere paas aatī hai
to maiñ kashkol meñ do-chār sikke Daal detā huuñ
ki ik ma.azūr aurat mujh ko fauran yaad aatī hai
main jab is shahr mein aata hun saDkon se guzarta hun
to ek chhoTi si laDki yaad aati hai
darida pairahan TuTa hua kashkol hathon mein
aur us kashkol mein sikke
magar main us ki surat dekh kar hairan hota tha
ajab si puKHtagi thi darj un masum aankhon mein
ki jaise zindagi bhar tajrabon ki bhik mangi ho
yahan is shahr ki saDkon pe yunhi sainkaDon bachche
liye kashkol hathon mein
sawali rah-giron se
kise fursat ki in chizon ki tahriren paDhe samjhe
magar chhoTi si wo laDki baDi manus thi mujh se
wo mujh ko dekhti to bhag kar nazdik aati thi
zara sa muskuraati thi
ki jaise koi rishta ho ki jaise koi apna ho
main us kashkol mein do-chaar sikke Dal deta tha
yun hi bas be-irada ek din main us ke ghar pahuncha
bas ek TuTa hua bosida kamra tha
aur ek TuTa palang jis par
koi mazur aurat thi
jo shayad us ki man hogi
baras guzre
aur us chhoTi si laDki ne
jawani ke zara nazdik jab pahla qadam rakha
to us ke jism ko shayad koi kashkol hi samjha
kali khilne na pai thi ki KHushbu luT li us ki
ki wo to be-sahaara thi
use wo de gaya koi jo manga hi na tha us ne
ab us ki god mein nannhi si ek masum bachchi thi
bahut din ba'd phir aana hua us shahr mein mera
tajassus mujh ko le aaya usi bosida kamre tak
wahan kuchh bhi na badla tha
wahi bosida kamra tha wahi TuTa palang bhi tha
palang par thi wahi laDki
magar ab wo bas ek mazur aurat thi
usi lamhe darida pairahan chhoTi si ek laDki
liye TuTa hua kashkol hathon mein wahan aai
mujhe aisa laga jaise kahani bhi purani thi
wahi kashkol aur sikke wahi chhoTi si ek laDki
aur us ke sath bhi hona wahi tha
jo ab tak hota aaya tha
use bhi ek din mazur hona tha
kabhi jab shahr ki saDkon pe chhoTi si koi laDki
darida pairahan kashkol hathon mein sanbhaale
sawali ban ke mere pas aati hai
to main kashkol mein do-chaar sikke Dal deta hun
ki ek mazur aurat mujh ko fauran yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.