kashmakash
ek añdhiyāre kone meñ
kuchh Darā Darā kuchh sahmā sā
baiThā thā ek ajnabī
man meñ ek ḳhauf liye
kahīñ chāñdī kī chamak
use andhā na kar de
yā paise kī khanak
pāgal na kar de
maazī kī soch se
āñkhoñ kī khiḌkī par
ek parat sī chaḌh ga.ī namī kī
phir jo dekhā mustaqbil kī or
nazar aayā kuchh bhī nahīñ
ek dhuñd ke sivā
apnī jaḌeñ kaaT kar
chal to paḌā shahr kī or
magar is be-muravvat jahāñ ke
dastūr se nā-vāqif thā vo ajnabī
jo rotā hai yahāñ use aur rulāte haiñ log
utrī sunahrī dhuup
man ke añdhere kone meñ
phir dekhā jo aañkh mal ye jaanā
ki taqdīr ne lā pheñkā hai
ek aise dorāhe par
jahāñ chun paanā apnī raah
koī āsāñ sī baat nahīñ
ek or zamīñ par
bichhī hai kaliyāñ
surḳh gulāb kī
guzartī hai ye raah
ka.ī dilkash nazroñ ko chuum
magar jaatī hai kidhar
ek andhī galī kī or
dūsrā rāsta dhuul meñ sanā
jahāñ kareñge istiqbāl
chand kīleñ kuchh ḳhaar
raah kuchh dushvār hai zarūr
magar yahāñ kī fazā
pur-kaif aur pur-sukūn
chal paḌā vo ajnabī
kāñToñ vaalī raah par
paañv se riste surḳh ḳhuun ke qatre
bikhre zamīn par aise
jaise bichhī ho hazāroñ
surḳh pañkhuḌiyāñ gulāb kī
ek andhiyare kone mein
kuchh Dara Dara kuchh sahma sa
baiTha tha ek ajnabi
man mein ek KHauf liye
kahin chandi ki chamak
use andha na kar de
ya paise ki khanak
pagal na kar de
mazi ki soch se
aankhon ki khiDki par
ek parat si chaDh gai nami ki
phir jo dekha mustaqbil ki or
nazar aaya kuchh bhi nahin
ek dhund ke siwa
apni jaDen kaT kar
chal to paDa shahr ki or
magar is be-murawwat jahan ke
dastur se na-waqif tha wo ajnabi
jo rota hai yahan use aur rulate hain log
utri sunahri dhup
man ke andhere kone mein
phir dekha jo aankh mal ye jaana
ki taqdir ne la phenka hai
ek aise dorahe par
jahan chun pana apni rah
koi aasan si baat nahin
ek or zamin par
bichhi hai kaliyan
surKH gulab ki
guzarti hai ye rah
kai dilkash nazron ko chum
magar jati hai kidhar
ek andhi gali ki or
dusra rasta dhul mein sana
jahan karenge istiqbaal
chand kilen kuchh KHar
rah kuchh dushwar hai zarur
magar yahan ki faza
pur-kaif aur pur-sukun
chal paDa wo ajnabi
kanTon wali rah par
panw se riste surKH KHun ke qatre
bikhre zamin par aise
jaise bichhi ho hazaron
surKH pankhuDiyan gulab ki
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 35)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.