kashmakash
har raat jā kar chhat pe
ik aisā sitārā DhūñDhnā
mumkin ho jis kā TūTnā
apnī nazar ke sāmne
kuchh der tak kar āsmāñ ko
thak chukīñ palkeñ girī
jab khulī palkeñ to dekhā
āsmāñ qadmoñ pe thā
vo khaḌe the sāmne
jin kī thī dil ko aarzū
dekhā usī pal gir rahā hai
ek sitārā TuuT kar
ab ye thī uljhan ki ham
dekheñ unheñ yā maañg leñ
the isī uljhan meñ ham
aur sunī aahaT tabhī
chauñk kar palkeñ khulīñ to
dekh kar hairān the
raat ḳhvāboñ meñ guzārī
kashmakash bhī fuzūl thī
har raat kā hai silsila ye
aur na.ī umiid hai
mil jā.eñge ham tum kahīñ
aur TūTegā tab ek sitārā
us hasīñ pal kā rahe gā
tā-umr ham ko intizār
har raat ja kar chhat pe
ek aisa sitara DhunDhna
mumkin ho jis ka TuTna
apni nazar ke samne
kuchh der tak kar aasman ko
thak chukin palken giri
jab khuli palken to dekha
aasman qadmon pe tha
wo khaDe the samne
jin ki thi dil ko aarzu
dekha usi pal gir raha hai
ek sitara TuT kar
ab ye thi uljhan ki hum
dekhen unhen ya mang len
the isi uljhan mein hum
aur suni aahaT tabhi
chaunk kar palken khulin to
dekh kar hairan the
raat KHwabon mein guzari
kashmakash bhi fuzul thi
har raat ka hai silsila ye
aur nai umid hai
mil jaenge hum tum kahin
aur TuTega tab ek sitara
us hasin pal ka rahe ga
ta-umr hum ko intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.