kashshu rani
kashshū raanī kashshū raanī
kartī ho apnī man-mānī
ek ik baat pe zid kartī ho
kartī ho kyoñ nā-farmānī
saarā sabaq to raT letī ho
jaise hai ye koī kahānī
samajh-būjh kar paḌhnā sīkho
chhoḌo ab apnī nādānī
apnā kaam vaqt par karnā
achchhe bachchoñ kī hai nishānī
mel-jol se rahnā achchhā
lab par laanā mīThī baanī
achchhī nazm kahīñ bhī sun lo
kar lo us ko yaad zabānī
saaf aur suthrā rahnā sīkho
gande rahnā hai nādānī
apnī kitāboñ ko mat phāḌo
ho jaa.eñ kitnī bhī purānī
'ilm sīkhnā farz hai sun lo
'ilm se jaatī hai nādānī
khānā daa.eñ haath se khaao
tiin saañs meñ piinā paanī
aapas meñ mil-jul kar rahnā
bair na rakhnā kisī se jaanī
baat baḌoñ kī jis ne maanī
sach pūchho to vahī hai gyānī
kashshu rani kashshu rani
karti ho apni man-mani
ek ek baat pe zid karti ho
karti ho kyon na-farmani
sara sabaq to raT leti ho
jaise hai ye koi kahani
samajh-bujh kar paDhna sikho
chhoDo ab apni nadani
apna kaam waqt par karna
achchhe bachchon ki hai nishani
mel-jol se rahna achchha
lab par lana miThi bani
achchhi nazm kahin bhi sun lo
kar lo us ko yaad zabani
saf aur suthra rahna sikho
gande rahna hai nadani
apni kitabon ko mat phaDo
ho jaen kitni bhi purani
'ilm sikhna farz hai sun lo
'ilm se jati hai nadani
khana daen hath se khao
tin sans mein pina pani
aapas mein mil-jul kar rahna
bair na rakhna kisi se jaani
baat baDon ki jis ne mani
sach puchho to wahi hai gyani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.