kashti
ham likhne vaale
vo kahānī meñ
jo ḳhizāñ meñ likhī jaatī hai
aur bahār meñ sunā.ī jaatī hai
aur giit haiñ
jo añdhere meñ gaayā jaatā hai
aur raushnī meñ
dohrāyā jaatā hai
ham ek aisī dīvār haiñ
jo kisī rāste meñ nahīñ aatī
aur ek aisā darvāza
jo hamesha dariyā ki taraf khultā hai
aur ek aisī khiḌkī
jo kabhī bāzār kī taraf nahīñ khultī
ham ek aisā daraḳht haiñ
jise aap kaaT to sakte haiñ
magar lagā nahīñ sakte
ham is daraḳht ke
kaaTe jaane kā afsos
ham us daraḳht meñ
phūTne vaalī koñpaloñ
kī ḳhushī
ham is daraḳht kā saaya
aur ham us kī lakḌī se banī huī
ek aisī kashtī haiñ
jis meñ bheḌiye
safar nahīñ kar sakte
hum likhne wale
wo kahani mein
jo KHizan mein likhi jati hai
aur bahaar mein sunai jati hai
aur git hain
jo andhere mein gaya jata hai
aur raushni mein
dohraya jata hai
hum ek aisi diwar hain
jo kisi raste mein nahin aati
aur ek aisa darwaza
jo hamesha dariya ki taraf khulta hai
aur ek aisi khiDki
jo kabhi bazar ki taraf nahin khulti
hum ek aisa daraKHt hain
jise aap kaT to sakte hain
magar laga nahin sakte
hum is daraKHt ke
kaTe jaane ka afsos
hum us daraKHt mein
phuTne wali konpalon
ki KHushi
hum is daraKHt ka saya
aur hum us ki lakDi se bani hui
ek aisi kashti hain
jis mein bheDiye
safar nahin kar sakte
- Book : Pakistani Adab (Pg. 141)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.