katba(4)
vo ik shaḳhs thā
jo akelā thā us kā koī bhī na thā
ik ikaa.ī thā vo
aur ik din ḳhud apnī ikaa.ī meñ zam ho gayā
is ne marte hue ik vasiyyat likhī
jis meñ likkhā thaa!
ai ādmī!
ai vo ik shaḳhs
jo mire marne kī pahlī ḳhabar sun ke dauḌe
aur āvāz de bhā.iyo aao is kā janāza uThāo
aur is āvāz pe koī āvāz us tak na pahuñche
aur phir mujh se bekas akele ko kāñdhoñ pe apne dhare
aur akelī sī ik qabr meñ mujh ko pahuñchā ke mahfūz kar de
merā vo dost itnā sā ehsān mujh par kare
vo mirī qabr par ek saada sā katba lagā.e
aur us par mirā naam likh de
sach kahūñ is se maiñ apnī shohrat nahīñ chāhtā
kyā mirā naam aur kyuuñ vo baaqī rahe
maiñ is vāste chāhtā huuñ ki jab
shahr ke log ye sun ke dauḌeñ
ki dekho ye mash.hūr hai, log kahte haiñ vo shaḳhs to mar gayā
sochte haiñ ye usī kī sharārat na ho
taaki ham log ab us se ġhāfil raheñ
us ke fitne se apne ko mahfūz samjheñ
bas yahī chāhtā huuñ
ki aisā koī shaḳhs DhūñDhe mujhe
to suhulat ho us ko ye tasdīq karne kī
ye shaḳhs sach-much nahīñ hai
vo ab mar chukā hai
maiñ to ab dushmanoñ ke bhī ārām ke haq meñ huuñ
kyuuñ kisī ko kisī se ḳhalal ho?
kyuuñ kisī ko naam se ek dahshat ho?
saare insān duniyā meñ ārām se so.eñ aur ḳhush raheñ
wo ek shaKHs tha
jo akela tha us ka koi bhi na tha
ek ikai tha wo
aur ek din KHud apni ikai mein zam ho gaya
is ne marte hue ek wasiyyat likhi
jis mein likkha tha!
ai aadmi!
ai wo ek shaKHs
jo mere marne ki pahli KHabar sun ke dauDe
aur aawaz de bhaiyo aao is ka janaza uThao
aur is aawaz pe koi aawaz us tak na pahunche
aur phir mujh se bekas akele ko kandhon pe apne dhare
aur akeli si ek qabr mein mujh ko pahuncha ke mahfuz kar de
mera wo dost itna sa ehsan mujh par kare
wo meri qabr par ek sada sa katba lagae
aur us par mera nam likh de
sach kahun is se main apni shohrat nahin chahta
kya mera nam aur kyun wo baqi rahe
main is waste chahta hun ki jab
shahr ke log ye sun ke dauDen
ki dekho ye mashhur hai, log kahte hain wo shaKHs to mar gaya
sochte hain ye usi ki shararat na ho
taki hum log ab us se ghafil rahen
us ke fitne se apne ko mahfuz samjhen
bas yahi chahta hun
ki aisa koi shaKHs DhunDhe mujhe
to suhulat ho us ko ye tasdiq karne ki
ye shaKHs sach-much nahin hai
wo ab mar chuka hai
main to ab dushmanon ke bhi aaram ke haq mein hun
kyun kisi ko kisi se KHalal ho?
kyun kisi ko nam se ek dahshat ho?
sare insan duniya mein aaram se soen aur KHush rahen
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 110)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.