kaThor rahen
kaThor rāheñ
jo uljhe dhāgoñ kā ek guchchā sā ban ga.ī haiñ
na un ko rañgoñ kī tez barkhā se kuchh ġharaz hai
vo tez barkhā jo muñh añdhere
kisī pujāran ke kapkapāte safed hoñToñ pe nāchtī hai
na un kī manzil vo shām-e-ġham hai jo ek mailā sā tasht le kar
musāfiroñ se lahū ke qatroñ kī bhiik ro ro ke māñgtī hai
dahakte taare hazīñ duā.eñ larazte hāthoñ se bāñTtī hai
kaThor rāheñ to aage baḌh kar adā dikhā kar palaT ga.ī haiñ
palaT ke pahlū badal ga.ī haiñ
ghanerī shab apnī kaalī kamlī meñ gum khaḌī hai
ye sochtī hai
bhañvar kī be-nūr chashm-e-tar meñ
koī sā sīdhā safed rasta ubhar ke chamke
to shab kā raahī udhar ko lapke
ye shab kā raahī
samay ke dhāre pe bahte bahte bhañvar kī sūrat ubhar gayā hai
hazār rāhoñ meñ ghir gayā hai
kaThor rahen
jo uljhe dhagon ka ek guchcha sa ban gai hain
na un ko rangon ki tez barkha se kuchh gharaz hai
wo tez barkha jo munh andhere
kisi pujaran ke kapkapate safed honTon pe nachti hai
na un ki manzil wo sham-e-gham hai jo ek maila sa tasht le kar
musafiron se lahu ke qatron ki bhik ro ro ke mangti hai
dahakte tare hazin duaen larazte hathon se banTti hai
kaThor rahen to aage baDh kar ada dikha kar palaT gai hain
palaT ke pahlu badal gai hain
ghaneri shab apni kali kamli mein gum khaDi hai
ye sochti hai
bhanwar ki be-nur chashm-e-tar mein
koi sa sidha safed rasta ubhar ke chamke
to shab ka rahi udhar ko lapke
ye shab ka rahi
samay ke dhaare pe bahte bahte bhanwar ki surat ubhar gaya hai
hazar rahon mein ghir gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.