katthai sham
ek kattha.ī shaam
havāoñ meñ itr ghol gayā koī
likhne ḳhvāboñ ko palkeñ jo mūñdīñ
ki kājal lagā gayā koī
sub.h hañstī thī
aur raat bhī thī gungunātī
par uf us kī vo zālim adā
be-vaj.h muskurāne kā sabab de gayā koī
manzil thī duur
aur na thā koī ham-safar
aisī sunsān rāhoñ meñ
mujh se merī pahchān karā gayā koī
chāñd hai kuchh māyūs
gul bhī haiñ gum-sum aur be-rañg
are tumhāre bhī din ā.eñge
aaj to baazī le gayā koī
mumkin na rahā ghūñghaT ke bhī
chhupānā ye maḳhmalī husn merā
soch zamāne kā jokhim
kaalā Tiikā lagā gayā koī
ek katthai sham
hawaon mein itr ghol gaya koi
likhne KHwabon ko palken jo mundin
ki kajal laga gaya koi
subh hansti thi
aur raat bhi thi gungunati
par uf us ki wo zalim ada
be-wajh muskurane ka sabab de gaya koi
manzil thi dur
aur na tha koi ham-safar
aisi sunsan rahon mein
mujh se meri pahchan kara gaya koi
chand hai kuchh mayus
gul bhi hain gum-sum aur be-rang
are tumhaare bhi din aaenge
aaj to bazi le gaya koi
mumkin na raha ghunghaT ke bhi
chhupana ye maKHmali husn mera
soch zamane ka jokhim
kala Tika laga gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.