kaun hai in ka KHuda
piiTh meñ kūbaḌ liye paañv se lañgḌātā huā
bhiik dar-dar māñgtā phirtā apāhij sā gadā
bah rahe nāsūr jis ke chīthaḌoñ se tan ladā
kaun hai is kā masīhā kaun hai is kā ḳhudā
kam-sinī meñ gaal pichke ruḳh gul-e-pāmāl sā
ghar se be-ghar hai jo bachcha bhuuk se behāl sā
Dher meñ kuuḌe ke jo roTī ke TukḌe bīntā
kaun hai is kā masīhā kaun hai is kā ḳhudā
adh-khilī nāzuk kalī chehra hai jis kā zard sā
sharm se āñkheñ jhukī lahja sarāpā dard sā
jis ko paapī peT kī ḳhātir paḌā tan bechnā
kaun hai is kā masīhā kaun hai is kā ḳhudā
ādam-o-havvā kī to aulād ye lagte nahīñ
ye to us insān ke ham-jins ho sakte nahīñ
ho ga.e the jis pe jannat ke farishte bhī fidā
kaun hai in kā masīhā kaun hai in kā ḳhudā
ai mire maulā agar in kā bhī hai tū hī ḳhudā
is qadar kyoñ haal se mere hai haal in kā judā
bol ye kis ko pukāreñ kis ko āḳhir deñ sadā
kaun hai in kā masīhā kaun hai in kā ḳhudā
piTh mein kubaD liye panw se langData hua
bhik dar-dar mangta phirta apahij sa gada
bah rahe nasur jis ke chithaDon se tan lada
kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda
kam-sini mein gal pichke ruKH gul-e-pamal sa
ghar se be-ghar hai jo bachcha bhuk se behaal sa
Dher mein kuDe ke jo roTi ke TukDe binta
kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda
adh-khili nazuk kali chehra hai jis ka zard sa
sharm se aankhen jhuki lahja sarapa dard sa
jis ko papi peT ki KHatir paDa tan bechna
kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda
aadam-o-hawwa ki to aulad ye lagte nahin
ye to us insan ke ham-jins ho sakte nahin
ho gae the jis pe jannat ke farishte bhi fida
kaun hai in ka masiha kaun hai in ka KHuda
ai mere maula agar in ka bhi hai tu hi KHuda
is qadar kyon haal se mere hai haal in ka juda
bol ye kis ko pukaren kis ko aaKHir den sada
kaun hai in ka masiha kaun hai in ka KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.