Khaaliq aur taKHliq
shā.ir ne kahā
nazm likhī hai maiñ ne
poshāk ḳhayālāt kī sī hai maiñ ne
ik aab na.ī suḳhan ko dī hai maiñ ne
tārīkiyoñ meñ raushnī kī hai maiñ ne
tab nazm ne
āh-e-sard bhar ke ye kahā
maiñ dast-e-havas se bhī gurezāñ ab tak
thī sūrat-e-bū-e-gul pareshāñ ab tak
lekin ye kyā ki ho ga.ī huuñ maiñ aaj
alfāz ke āvāz ke pinjre meñ asiir
paḌhne vaale ke valvale kī muhtāj
shair ne kaha
nazm likhi hai main ne
poshak KHayalat ki si hai main ne
ek aab nai suKHan ko di hai main ne
tarikiyon mein raushni ki hai main ne
tab nazm ne
aah-e-sard bhar ke ye kaha
main dast-e-hawas se bhi gurezan ab tak
thi surat-e-bu-e-gul pareshan ab tak
lekin ye kya ki ho gai hun main aaj
alfaz ke aawaz ke pinjre mein asir
paDhne wale ke walwale ki muhtaj
- Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 56)
- Author : Akbar Hyderabadi
- Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.