Khaaliq-e-gul-e-tar ki yaad mein
Interesting Fact
جناب مخدوم محی الدین کی وفات پر
dosto aaj maḳhdūm ham meñ nahīñ
haañ vahī thā jo ik nāmvar rahnumā
jo ġharīboñ kā hamdard thā
aur mehnat-kashoñ se jise pyaar thā
haañ vahī jo pasandīda shā.ir bhī thā
jis kī nazmoñ meñ thā fikr kā bāñkpan
jis kī ġhazleñ taġhazzul se bharpūr thiiñ
jis ko mashriq meñ shohrat milī
jis ko maġhrib meñ izzat milī
jis ko apne vatan meñ mohabbat milī
masjidoñ ne sadā dī jise
mandiroñ ne duā dī jise
mahfil-e-sher thī jis ke dam se javāñ
le rahī thī nayā moḌ urdu zabāñ
yak-ba-yak hashr sā ik bapā ho gayā
aur maḳhdūm ham se judā ho gayā
miT gayā ek daur ik sadī luT ga.ī
aaj maḳhdūm ham meñ nahīñ dosto
ab kahāñ aa.egī baat maḳhdūm kī
hai saverā magar is meñ surḳhī nahīñ
hai gulistāñ magar vo gul-e-tar nahīñ
ab sahārā hai ik yād-e-maḳhdūm kā
aao sab saath mil kar chaleñ dosto
ik chañbelī ke mañDve tale
mai-kade se zarā duur us moḌ par
baiTh kar der tak yād-e-maḳhdūm meñ
āñsūoñ kā manāeñge ik jashn ham
dosto aaj maKHdum hum mein nahin
han wahi tha jo ek namwar rahnuma
jo gharibon ka hamdard tha
aur mehnat-kashon se jise pyar tha
han wahi jo pasandida shair bhi tha
jis ki nazmon mein tha fikr ka bankpan
jis ki ghazlen taghazzul se bharpur thin
jis ko mashriq mein shohrat mili
jis ko maghrib mein izzat mili
jis ko apne watan mein mohabbat mili
masjidon ne sada di jise
mandiron ne dua di jise
mahfil-e-sher thi jis ke dam se jawan
le rahi thi naya moD urdu zaban
yak-ba-yak hashr sa ek bapa ho gaya
aur maKHdum hum se juda ho gaya
miT gaya ek daur ek sadi luT gai
aaj maKHdum hum mein nahin dosto
ab kahan aaegi baat maKHdum ki
hai sawera magar is mein surKHi nahin
hai gulistan magar wo gul-e-tar nahin
ab sahaara hai ek yaad-e-maKHdum ka
aao sab sath mil kar chalen dosto
ek chanbeli ke manDwe tale
mai-kade se zara dur us moD par
baiTh kar der tak yaad-e-maKHdum mein
aansuon ka manaenge ek jashn hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.