KHamosh aawaz
din badaltā nahīñ
vaqt ruktā nahīñ
aur kahte haiñ vo
din badal jā.eñge
kyā falak meñ baheñge samundar koī
kyā zamīñ phir ugā.egī sūraj na.e kyā pahāḌoñ se nikleñgī kirneñ yahāñ
kyā chanāroñ se phūTegī ḳhushbū vahāñ
yā ki talvār degī mohabbat kā rang
yā ki dastār degī uḳhuvvat kā ang
yā koī fāḳhta sabz koñpal liye
ham ko aane lagegī fazā meñ nazar
kaun se tajrabe ke sahāre miyāñ
aap kahte haiñ ab din badal jā.eñge
din badalta nahin
waqt rukta nahin
aur kahte hain wo
din badal jaenge
kya falak mein bahenge samundar koi
kya zamin phir ugaegi suraj nae kya pahaDon se niklengi kirnen yahan
kya chanaron se phuTegi KHushbu wahan
ya ki talwar degi mohabbat ka rang
ya ki dastar degi uKHuwwat ka ang
ya koi faKHta sabz konpal liye
hum ko aane lagegi faza mein nazar
kaun se tajrabe ke sahaare miyan
aap kahte hain ab din badal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.